Aqa aqa bol banday aqa aqa bol

Aqa aqa bol banday aqa aqa bol
Zikr nabi tu karta ja yay zikr barra anmol

Aisa din bhi aaja-ay sarkar kay dar pay betthay ho
Lab khamosh zubaan ban ja-ay aansu arza kartay ho
Un kay dar pay ronay waalay, dil say kucch to bolol

Sarkar e do aalam pyaray aqa jidhar say guzra kartay thay
Shajr gawaahi dayta tha or pathar kalima partay thay
Noor e khuda kay munkir ab to, apni aankhayn khol

Aow chalo deewano saaray shehr e madinah chaltay heyn
Mayri kya oqaat he sab hii un kay dar say paltay heyn
Ghairon ko bhi daytay heyn, bin maangay bin mol

Jab say hosh sambaala he meyn unki naatayn parta huun
Gustaahi na ho ja-ay meyn sambal sambal kay chalta huun
Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol

Rashid naatayn likhna parna yay he barra ihsan
Un kay karm kay sadqay hii se unchi he parwan
Naat e nabi tu suna-ay ja, kaano mayn rasghol




www.naatlyrics.in

Aqa ko pukaar bandey

Aqa ko pukaar bandey, Aqa ko pukaar!

Insha'Allah ho jaey ga tera beyra paar

Kya kehna darbar Nabi ka ,uss ki shaan aali hai.

Hargiz na mehroom woh lauta uss dar ka jo sawaali hai

Aao chalain ham sooey madinah, chowr ke sab ghar bar.

Un ke haath main kul kunji hai Rabb ne unain Mukhtar kiya

Ham ko Un ka mangta banaya aur Un ko Sarkaar kiya

Jo Sarkaar ke dar ka gada hai, woh khud hai mukhtar

Thumma dana fatadallaa ka mansab Sarkaar ko hasil hai

Puhnch na paya koi uss jah, jo sarkaar ki manzil hai

Asraa ki shab uznu minni Maulaa ki thi pukaar.

Aala Hazrat ne ya Rabb yeh dars hamian sikhlaya hai

Jo gustakh-e-khuda ya Nabi hai apna nahi woh paraya hai

Haan aisey gustakhoon par hai Khaliq ki phatkaar

Kiyun ghamgeen hai tu ay sayyed dar par who bulwain gey

Ranj-o-gham sab door karain gey sooey bhaag jagayain gey

Aur bhi koi Unn ke siwa hai dukhiyoon ka gham khawar

Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo
Jis ka Jalwa Hey Alam Hey Har Char Soo

Balky Khud Nafs Mey Hey Wo Subhana Ho
Arsh Par Hey Magar Arsh Par Hey Magar Arsh Ko Justajo

Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Arsh O Farsh O Zaman O Dehaq Aey Khuda
Jis Taraf Dekhta Hoon Hey Jalwa Tera
Zary Zary Ki Ankhon Mey Tu He Ziya
Qatry Qatry Ki Tu He Tu Hey Abroo

Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Tu Kise jaan ki Aur Harja Hey Tu
Tu Munaza Muqam Sey Mubala Rasool

Ilmo Qudrat Sey Har Jaah He Tu Ku Ba Ku
Tery Jalway Hein Har Har Jaga Aey Haku

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Naghma San Jany Gulshan Mey Charcha Tera
Jab Chay Zikry Haq Key Hein Subho Masan

Apni Apni Chahat Apni Apni Sada
Sab Ka Matlab Hey Wahid Key Wahid Hey Tu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Ta Hera Mey Jina Mey Teri Guftagu
Geet Tery He Gaty Hein Wo Khus Gloo

Koi Kehta Hey Haq Koi Kehta Hey Hu
Aur Sab Kehty Hein la Sharkala Hu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Khawab e Noori Key Aay Jo Noor e Khuda
?? e Noor Hoo Apna Zulm O Kada

jag Maga Uthy Dil Chera Ho Purziya
Noorion Ki Tarhan Shabn Ho Zikar Hu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

An Nabi Sallo Alaih

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah

An Nabi Sallo Alaih - Salawathullah Alaih - Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih

An Nabi Ya Halireen - Iilamoo Ilmal Yaqeen – Anna Rabbal Aalameen Wa Rala Salla Alaih

An Nabi Sallo Alaih - Salawathullah Alaih - Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih

Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..

Kaabe Ke Badrud Duja - Thum Pe Karodon Durood
Tayba Ke Shamsud Duha - Thum Pe Karodon Durood
Shafiye Roze Jaza - Thum Pe Karodon Durood – Dafiye Jumla Bala Thum Pe Karodon Durood

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah

An Nabi Ya Man Halar – An Nabi Khairul Bashar – Man Lahu Shaqqul Qamar – Wa Nazil Sallim Alaih

Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..

Dil Karo Thandha Mera Wo – Kafe Pa Chaand Sa – Seene Pe Rakdho Zara - Thum Pe Karodon Durood

Zaat Hui Intikhab – Wasf Hue La Jawab – Naam Hua Mustafa - Thum Pe Karodon Durood

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabi Dhakal Uroos – Dhikruhu Yuhyin Nufoos – An Nasaara Wal Majoos – Aslamoo Ala Yadaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
Be Hunar Be Tameez – Kiske Hue Hain Azeez – Ik Thumare Siwa - Thum Pe Karodon Durood
Aas Hai Koi Na Paas – Ik Thumaari Hai Aas – Bas Hai Yahin Aasra - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
Seena Ke Hai Daag Daag – Kehdo Karen Baag Baag – Tayba Se Aake Saba - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabiyyul Mustafa – Ibn Zamzam Was Safa – Man Taa’la Sharafa – Kulluhum Salla Alaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
An Nabiyyul Mujtafa – An Nabi Saakin Quba – Hubbuhu Li Madhaba – Rabbana Salla Alaih

Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
Thum Se Jahan Ka Nizaam - Thum Pe Karodon Durood
Thum Pe Karodon Sana - Thum Pe Karodon Durood
Thum Ho Jawado Kareem – Thum Ho Rawoofo Raheem
Bheek Ho Data Ataa - Thum Pe Karodon Durood
Khalq Ke Haakim Ho Thum – Rizq Ke Qaasim Ho Thum
Thum Se Mila Jo Mila - - Thum Pe Karodon Durood
Nafii Wo Dafii Ho Thum – Shaafii Wo Rafii Ho Thum
Thum Se Bas Afzon Khuda - - Thum Pe Karodon Durood
Shaafee Wo Naafee Ho Thum – Kaafee Wo Daafee Ho Thum
Dard Ko Kardo Dawa - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
Barse Karam Ki Bharan – Bhoole Niam Ke Chaman
Aysi Chala Do Hawa - Thum Pe Karodon Durood
Kiyoon Kahoon Be Kas Hun Main - Kiyoon Kahoon Be Bas Hun Main
Thum Ho Main Thum Pe Fida - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabi Dhaakal Maleeh – Qawaluhu Qawlu Saheeh – Wal Quran Shaiun Faseeh – Alladee Unzil Alaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
Karke Thumare Gunaah – Maanghe Thumaari Panaa
Thum Kaho Daaman Men Aa - Thum Pe Karodon Durood
Ham Ne Khata Men Na Ki – Thum Ne Ataa Men Na Ki
Koi Kamee Sarwara - Thum Pe Karodon Durood
Aankh Ata Keejiye – Us Men Ziya Deejiye – Jalwa Qareeb Aagaya- Thum Pe Karodon Durood
Kaam Oh Le Leejiye – Thumko Jo Raazee Kare – Theek Ho Naame Raza- Thum Pe Karodon Durood
Wal Hasan Thummal Husain – Lin Nabi Raihaanatain – Fathima Qurrathu Ayn – Jadduhum Sallo Alaih
An Nabi Sallo Alaih - Salawathullah Alaih - Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2)
Ye Ubaid Adna Ghulam – Tera Hai Khairul Anam – Waqt Midhat Keliye – Is Ki Ho Umr Tamam

Abb Meri Nigaho May Jachta Nahi Koi

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi

Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi

Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi

Hota Hai Jaha Zikr Muhammad(SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi

Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi

Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi

Written By Khalid Mahmood KHALID

Post By Naqee Ahmed Barkaati

Aaye Aaqa Pyare Aaqa

Aaye Aaqa Madani Aaqa

Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa

Aamina Bibi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahaar
Parhte Hain Sallalaho Wassalam Aaj Dar-O-Deewar
Madani Allah Allah Allah Allah

Baara Rabi Ul Awwal Ko Woh Aaya Rasool-e-Kareem
Mahe-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat Sahib-e-Khulq-e-Azeem
Madani Allah Allah Allah Allah

Pyaari Surat Hansta Chehra Moo Se Jhartay Phool
Noor Saraapa Chaand Sa Chehra Haq Ka Pyaara Rasool
Madani Allah Allah Allah Allah

Jibreel Aaye Jhoola Jhulanay Lori De Zeeshan
So Jaa So Jaa Rehmat-e-Alam Do Jug Ke Sultan
Madani Allah Allah Allah Allah

Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaanay Deekhay Ba'eed-O-Qareeb
Ghaib Ki Khabrein Dene Waala Allah Ka Woh Habeeb
Madani Allah Allah Allah Allah

Hamid-O-Mehmood Aur Muhammad (Peace & Blessings Be Upon Him) Do Jug Ka Sardaar
Jaan Se Pyaara Raaj Dulaara Rehmat Ke Sarkar
Madani Allah Allah Allah Allah

Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa

Muhammad nabina (With English Translation)

Muhammad nabina
Binuru atina
Min Makkah Habibi nuru sata' aal Madinah
Min salla Salatu, wet'hala bsifatu
Ya bakht elli fdhelou mechi, yechfa'alu fimamatu


Muhammad our prophet guides us with his light
From Makkah, O Beloved his light was glowing over Madinah
He who prays his prayers and tries to imitate his attitudes
Oh how lucky he is who walks in his presence
And gains his intercession after death

Ya Imamna ya Ameen
Ya sanad lil muslimeen
Ya Habibi ya Muhamad ya Ibn Abdullah.
Tammet irrisalat tamam, wel Habib Misk Elkhitam
Tul hayati wfslati bad'i assalli warah


Oh our Imam, the trustworthy One
Oh guardian & support to all Muslims
Oh my beloved Muhammad (s.a.w), the son of Abdullah
You completed the prophecies completely
And the Beloved One is the sweetest seal (of the Prophets)

Min awel youm fi o'mri, seme't abuya wommi bisallu aalih
Allah umma salli aalih
Habbibni fil Iman, hassesni bil amen, we t'ala't bih
Allahuma salli wasallem wabarek aalih
Allahuma salli wasallem wabarek aalih
Nefsi achufak fil manam... ya Rasulallah.
waabki aala kitfak wanam... ya habiballah.
wanul charaf lu'a sohbitak
wakhatti fi sfuf ummitak
wat'hama fik


Throughout all my life and in my prayers, I make a supplication to pray behind him [in the next life]
From the first day in my life that I heard my mother and father praying upon him
He endeared faith to me, granted peace to me & made me love him
Oh Allah send blessings & peace upon him
Oh Allah send blessings & peace upon him
I wish to see you in my dreams, O Messenger of God
And I cry on your shoulder & sleep there, o Beloved of God
And I attain honor with your accompaniment
And I walk among the ranks of your Ummah
And I am protected by you

Ya Habibi ya Taha, ya nagat mel mataha
Ghayart edonya fi I'inina bin lila wdhu'haha
Min salla Salatu, wet'hala bsifatu
Ya bakht elli fdhelou mechi, yechfa'alu fimamatu


Oh Beloved, o Pure One, you who had survived the maze
You changed the world in our eyes between a night and its morning [referring to the night journey]
He who prays his prayers and tries to improve his attributes
How lucky is he who walks in his shadow
And adds to him with his death

www.naatlyrics.in


Har waqt Tasawwur mein


Har waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas'sar woh ghadi ho

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

AQA ka gada hoon ai jahan'nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

www.naatlyrics.in

Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho

Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki
Jannat Mein Le Kar Jayegi Chahat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Chalta Hoon Mein Bhi Qaafilon Walon Ruko Zara
Milnay Do Buss Mujhay Bhi Ijazat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Poochay Jou Deen-O-Iman Nakeerayn Qabr Mein
Uss Waqt Mere Lab Pe Ho Midhat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Tarpa Ke Unke Qadmon Mein Mujhko Giraday Showk
Jiss Waqt Ho Lehed Mein Ziyarat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Sarkar صلی اللہ علیھ وسلم Ne Bulakay Madina Dekha Diya
Hogi Mujhe Naseeb Shafa'at Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Ya Rub Dekha De Aaj Ki Shab Jalwa-e-Habeeb صلی اللہ علیھ وسلم

Ik Baar Tou Ata Ho Ziyarat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Daaman Me Unke Le Lo Panah Aaj Najdiyo
Mahengi Paregi Warna Adavat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Tou Hai Ghulam Unka Ubaid-e-Raza Tere
Mehshar Mein Hogi Saath Himayat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Bekhud kiye dete hain

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana

Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Kyu aankh milayi thi, kyoon aag lagayi thee
Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana.

Zahid meri kismat mein sajday hain usi dar kay
Chuta hai na chuthay ga sange dar e janana.

Kiya lutf ho mehshar mein main shikway kiye jaoon
Woh haskay kahay jayein deewana hai dewana.

Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka
Sheshay pay gira sheesha pemanay paymana.

Maloom nahin baydam mein kon houn aur kiya hoon
Youn apnoon main apna houn baiganoon mein baygana.

www.naatlyrics.in




Bigdi Bhi Banain Ge

Bigdi Bhi Banain Ge 
Jalwy Bhe Dekhain ge 

Ghabrao Na Deewano Sarkar Bulain Ge
Hum Masjid-e-Nabvi key Dekhy Ge Minaroon Ko 
Aur Gumbad-e-Khazran key Purnoor Nazaroon Ko 
Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aay ge 

Mil Jay Ge Tabirein Eik Rooz To 
khawaboo Ki Gir Jay Gi Dewarein Sab 
Dekhna Rahoo Ki Hum Roza-e-Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Ge 

Dil Ishq-e-Nabi mey Tum Kuch Aur Tarapny Doo 
Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bharkny Doo 
Hum Tishna Dili Chal Kar Zam-Zam Sey Bojhay Ge 

Jab Hashar Key Medan Mey Eik Hashar Bayan Ho Ga 
Jab Fesla Ummat Ka Karny Ko Khuda Ho Ga 
Ummat Ko Shahe Bataha Kamli Mey Chupain ge 

Lillah Mohammad Sey Rodad Meri kehna
Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana 
Ishrat Ko Dare Aqdas Kab aap Bolain Ge

www.naatlyrics.in




As sub hu bada min


As sub hu bada min tal’ati hii
W- al- laylu dajaa minv wafrati hee

Kanz-ul-karami mowl-an-ni’ amii
Haad-il-umami li shari’ati hii.
Sa’at-ish-shajaruu nataq-al-hajaruu
Shaqq-al-qamaruu bi ishaaratihii
Jibrilu ataa laylata asraa
W-ar-rabbu da’aa fii hadrati hii
Fa Muhammaduna huwa Sayiduna
Fal iszulana li ijaabetihi
As – Subhu badaa min tal’ati hii
W- al- laylu dajaa minv wafrati hee

Ay shahenshah-e-madina

Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
zeenat-e arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam
rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam
sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
keh raha he har sitara assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe-e mu'alla, assalat-o-wassalam
mu'mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe mu'alla, assalat-o-wassalam
mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba'd
mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
zeenat-e-arshe mu'allah, assalat-o-wassalam
jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,


Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara 
Sabaa Tu Madine Jaa Ke Kehna Khudara
Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara


Ghum se Hain Toote Hue, Zulmo Se Loote Hue,
Muddat Hui Ya Nabi, Qismat Ko Roothe Hue,
Rouze Mehshar Ummati Ka Aap Hi Sahara


Chaand Ke Tukde Kiye, Paido Ne Sajdeh Kiye,
Suraj Palat Aa Gaya, Ye Moujize Aapke
Ummati Kya Khud Khuda Hain Shaida Tumhara


Din Raat Rooti Hain Ye, Ummat Tumhare Liye
Ho Jaye Nazre Karam, Aaqa Hamare Liye
Taibah Ki Un Galiyon Ka Kab Hoga Nazara


Sab Ambiya Ke Imam, Tum Par Ho Laakho Salaam
Rouze Pe Aaye Majeed, Kehta Hai Ye Subho Shaam
Zindagi Me Aas Ka Na Toote Sitara


Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam
Shamme Bazme Hidayat Pe Laakho(n) Salaam

Mehre Charkhe Nubuvvat Pe Roushan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakho(n) Salaam

Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram
Nau Bahaar E Shafa'at Pe Laakho(n) Salaam

Shab E Asra Ke Dulha Pe Da-im Durood
Nausha E Bazme Jannat Pe laakho(n) Salaam

Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakho(n) Salaam

Noor E Ain E Latafat Pe Alt(a)f Durood
Jaibo Jaine Najafat Pe Laakho(n) Salaam

Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam
Yakka Taaze Fazilat Pe Laakho(n) Salaam

Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakho(n) Salaam

Sahibe Raj'ate Shamso Saqqul Qamar
Naib E Daste Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva
Uss Sada E Siyadat Pe Laakho(n) Salaam

Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyasat Pe Laakho(n) Salaam

Asle Har Buudo Bahbood Takhme Wajood
Qasim E Kanze Ne'amat Pe Laakho(n) Salaam

Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood
Khatme Daur E Risalat Pe Laakho(n) Salaam

Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood
Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho(n) Salaam

Be-Saheemo Q(a)simo Adeelo Maseel
Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho(n) Salaam

Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho(n) Salaam

Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakho(n) Durood
Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakho(n) Salaam

Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood
Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakho(n) Salaam

Partave Isme Zaate Ahad Par Durood
Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakho(n) Salaam

Mat-La'e Har Sa'adat Pe As'ad Durood
Maqtae Har Siyadat Pe Laakho(n) Salaam

Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(n) Salaam

Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakho(n) Durood
Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam

Shamme Bazme D(a)na Hu Mai Gum Kun Ana
Shar-He Matne Huviyyat Pe Laakho(n) Salaam

Intiha E Daayi Ibtida E Yakee
Jam'a Tafreeqo Kasrat Pe Laakho(n) Salaam

Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar Durood
Izzate Baade Zillat Pe Laakho(n) Salaam

Rabb E Aala Ki Ne'amat Pe Aala Durood
Haq Ta'ala Ki Minnat Pe Laakho(n) Salaam

Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakho(n) Salaam

Farhate Jaane Mo'min Pe Behad Durood
Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakho(n) Salaam

Sab-Be Har Sabb Muntaha E Talab
Illate Julmo Illat Pe Laakho(n) Salaam

Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar Durood
Mazhar E Masdariyyat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliya(n) Khili
Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakho(n) Salaam

Qadde Be-Saaya Ke Saya E Marhamat
Jille Mamdud E Raafat Pe Laakho(n) Salaam

Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya(n)
Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakho(n) Salaam

Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma
Us Khuda Saaz Tal'at Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe
Uss Sare Taaje Rif'at Pe Laakho(n) Salaam

Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa
Lakka E Abre Raafat Pe Laakho(n) Salaam

Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq
Maang Ki Istiqamat Pe Laakho(n) Salaam

Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se
Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakho(n) Salaam

Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale Wo Kaan
Kaan E La'le Karamat Pe Laakho(n) Salaam

Chashma E Mehr Me Mouje Noor E Jalaal
Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Mathe Shafa'at Ka Sehra Raha
Us Jabeen E Sa'adat Pe Laakho(n) Salaam

Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki
Unn Bhavo(n) Ki Latafat Pe Laakho(n) Salaam

Unki Aankho(n) Pe Wo Saaya Afghan Miza
Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakho(n) Salaam

Ashq Baari E Mizga(n) Pe Barse Durood
Silke Durre Shafa'at Pe Laakho(n) Salaam

Ma'ana E Qad Ra-aa Maqsad E Maa Tagaa
Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigah E Inayat Pe Laakho(n) Salaam

Nichee Aankho(n) Ki Sharmo Haya Par Durood
Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakho(n) Salaam

Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay
Un Azaaro Ki Tal’at Pe Laakho(n) Salaam

Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad Durood
Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakho(n) Salaam

Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho(n) Salaam

Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood
Namak Aagi Sabahat Pe Laakho(n) Salaam

Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh Ka Araq
Uski Sachhi Baraakat Pe Laakho(n) Salaam

Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara Faban
Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

Rishe Khus Mu’atadil Marham E Reshe Dil
Hala E Mah E Nudrat Pe Laakho(n) Salaam

Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya
Un Labo(n) Ki Nazakat Pe Laakho(n) Salaam

Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E Khuda
Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa
Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakho(n) Salaam

Jis Se Khari Kuve Shira E Jaa(n) Bane
Us Julale Halavat Pe Laakho(n) Salaam

Wo Jabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho(n) Salaam

Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakho(n) Salaam

Uski Baato(n) Ki Lazzat Pe Laakho(n) Durood
Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakho(n) Salaam

Woh Dua Jiska Joban Bahaar E Qubool
Us Naseem E Ijabat Pe Laakho(n) Salaam

Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke
Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakho(n) Salaam

Jiski Taskee(n) Se Rote Hue Has Pade
Us Tabassum Ki A'adat Pe Laakho(n) Salaam

Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawa(n)
Us Gale Ki Nazarat Pe Laakho(n) Salaam

Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane Sharaf
Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakho(n) Salaam

Hajre Aswad Ka'aba E Jaan O Dil
Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam

Ru-e Aaina E Ilme Pushte Huzoor
Pushti E Qasr E Millat Pe Laakho(n) Salaam

Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya
Mouje Behre Sama'at Pe Laakho(n) Salaam

Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam

Ka'aba E Deen O Imaa(n) Ke Dono Sutoo(n)
Sayyedaine Risalat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam
Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakho(n) Salaam

Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee
Ungliyo(n) Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam

Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke Hilaal
Nakhoono Ki Basharat Pe Laakho(n) Salaam

Raf'a E Zikre Jalalat Pe Arfa'a Durood
Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakho(n) Salaam

Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu Kahu
Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakho(n) Salaam

Kul Jahaa(n) Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza
Uss Shikam Ki Kana'at Pe Laakho(n) Salaam

Jo Ki Azme Shafa'at Pe Khinch Kar Bandhi
Us Qamar Ki Himayat Pe Laakho(n) Salaam

Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor
Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakho(n) Salaam

Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle Karam
Sham'e Raah E Isabat Pe Laakho(n) Salaam

Khayi Quraa(n) Ne Khaaqe Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hur mat Pe Laakho(n) Salaam

Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand
Us Dil Afroz Sa'at Pe Laakho(n) Salaam

Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood
Yaadgari E Ummat Pe Laakho(n) Salaam

Zar'e Shadab E Har Zar'e Pur Sheer Se
Barkaate Reja'at Pe Laakho(n) Salaam

Bhaiyo Ke Liye Tark Pista(n) Kare
Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakho(n) Salaam

Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad Durood
Burje Maah E Risalat Pe Laakho(n) Salaam

ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakho(n) Salaam

Uth-Te BuTo Ki Nashwo Numa Par Durood
Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakho(n) Salaam

Fazl E Paidaishi Par Hamesha Durood
Khelne Se Karahat Pe Laakho(n) Salaam

A'etela E Jabillat Pe Aala Durood
A'etedal E Tivayat Pe Laakho(n) Salaam

Be Banavat Adaa Par Hazaro Durood
Be Takalluf Malahat Pe Laakho(n) Salaam

Bhini Bhini Mahak Par Mahakti Durood
Pyari Pyari Nafasat Pe Laakho(n) Salaam

Meethi Meethi Ibarat Pe Shiree(n) Durood
Achhi Achhi Isharat Pe Laakho(n) Salaam

Seedhi Seedhi Ravish Par Karoro(n) Durood
Saadi Saadi Tabi'at Pe Laakho(n) Salaam

Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar Me
Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak
Us Jahangeer E Ba'sat Pe Laakho(n) Salaam

Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage
Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakho(n) Salaam

Lutf E Bedari E Shab Pe Behad Durood
Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakho(n) Salaam

Kh(a)nda-e Subho Ishrat Pe Noori Durood
Giry(a) E Abre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim Durood
Garmi E Shaane Satavat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi
Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakho(n) Salaam

Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi
Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakho(n) Salaam

Girde Mah Daste Anjum Me Rakhsha(n) Hilaal
Badr Ki Daf'e Zulmat Pe Laakho(n) Salaam

Shore Takbeer Se Thar-Tharati Zamee(n)
Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakho(n) Salaam

Na'araha E Dilera(n) Se Ban Gunjte
Gurrashe Kose Jur-at Pe Laakho(n) Salaam

Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati Sadaa
Mustafa Teri Soulat Pe Laakho(n) Salaam

Unke Aage Wo Hamza Ki Jaa(n)-Baaziya(n)
Shere Gurrane Satvat Pe Laakho(n) Salaam

Al Gharaz Unke Har mu Pe Laakho(n) Durood
Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakho(n) Salaam

Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami Durood
Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakho(n) Salaam

Unke Maula Ki Un Par Karoro(n) Durood
Unke As-habo Itrat Pe Laakho(n) Salaam

Paar-Haye Suhuf Ghuncha E Qudus
Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam

Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame
Uss Riyaze Najaabat Pe Laakho(n) Salaam

Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka Khameer
Unki Be Lous Tinat Pe Laakho(n) Salaam

Uss Batul E Jigar Para E Mustafa
Haj-La Aara E Iffat Pe Laakho(n) Salaam

Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher Ne
Uss Rida E Nazahat Pe Laakho(n) Salaam

Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira
Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakho(n) Salaam

Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiya(n)
Raakib E Doshe Izzat Pe Laakho(n) Salaam

Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre Nida
Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakho(n) Salaam

Shahad Khware Lu-aab E Zabaan E Nabi
Chaashni Geer Ismat Pe Laakho(n) Salaam

Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu Kabaa
Bekase Dashte Gurbat Pe Laakho(n) Salaam

Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf
Range Ru E Shahadat Pe Laakho(n) Salaam

Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq
Baanuvane Tahaarat Pe Laakho(n) Salaam

Jalw(a)-Giyyane Baitush-Sharaf Par Durood
Pard Giyyane Iffat Pe Laakho(n) Salaam

Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno Amaa(n)
Haq Gujare Rifaqat Pe Laakho(n) Salaam

Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui
Us Saraa E Salamat Pe Laakho(n) Salaam

Manzillum Min Kasab La Nasab La Sakhab
Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakho(n) Salaam

Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi
Us Hareem E Bara-at Pe Laakho(n) Salaam

Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah
Unki PurNoor Surat Pe Laakho(n) Salaam

Jinme Ruhul Qudus Be-Ijazat Na Jaaye
Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakho(n) Salaam

Sahm'e Taabaane Kaashaana E Ijtehaad
Mufti E Chaar Millat Pe Laakho(n) Salaam

Jaa(n)-Nisaran E Badro Uhad Par Durood
Haq Guzaaran E Bai'at Pe Laakho(n) Salaam

Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila
Uss Mubarak Jama'at Pe Laakho(n) Salaam

Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe Khuda
Ouhad E Kamiliyat Pe Laakho(n) Salaam

Sai-E Mustafa Mai-E Istafa
Izzo Naaze Khilafat Pe Laakho(n) Salaam

Asdaqus-Sadeqi Sayyedul Muttaqi
Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakho(n) Salaam

Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar
Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakho(n) Salaam

Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda
Taighe Maslule Shiddat Pe Laakho(n) Salaam

Tarjumaan E Nabi Ham-Zabaan E Nabi
Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakho(n) Salaam

Jaahid E Masjid E Ahmadi Par Durood
Ddoulat E Jaishe Usrat Pe Laakho(n) Salaam

Durre Mansoor Quraa(n) Ki Silke Bahee
Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakho(n) Salaam

Yaani Usmaan Saahab Kamees E Huda
Hulla Pushe Shahadat Pe Laakho(n) Salaam

Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e
Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakho(n) Salaam

Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda
Baab E Fasle Wilayat Pe Laakho(n) Salaam

Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj
Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakho(n) Salaam

Shere Shamsheer-J(a)n Shahe Khaibar-Shikan
Parvat E Dost Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj
Haami E Deen O Sunnat Pe Laakho(n) Salaam

Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab
Ahle Khairo Adaalat Pe Laakho(n) Salaam

Jis Musalmaa(n) Ne Dekha Unhe Ik Nazar
Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakho(n) Salaam

Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki
Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakho(n) Salaam

Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E Tahur
Zain E Ahle Ibadat Pe Laakho(n) Salaam

Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke
Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakho(n) Salaam

Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood
Unki Waala Siyadat Pe Laakho(n) Salaam

Shafa'e Maaliki Ahmad Imam E Haneef
Chaar Baagh E Imamat Pe Laakho(n) Salaam

Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil Durood
Haamilan E Shariat Pe Laakho(n) Salaam

Ghouse Aazam Ima Muttuka Wannuka
Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

Kutbe Abdaalo Irshaad O Rushdurshaad
Muh-yi-e Deen O Millat Pe Laakho(n) Salaam

Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad Durood
Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakho(n) Salaam

Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah
Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam

Shah E Barkaato Barkaate Peshiniya(n)
Nou Bahar E Tareeqat Pe Laakho(n) Salaam

Sayyid Aale Muhammad Imamur Rashheed
Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakho(n) Salaam

Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool
Zeenat E Qaadriyat Pe Laakho(n) Salaam

Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal O Makaal
Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakho(n) Salaam

Noor-Jaa(n) Itre-Majmu'a Aale Rasool
Mere Aaqa E Ne'amat Pe Laakho(n) Salaam

Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad
Ahmad E Noor Teenat Pe Laakho(n) Salaam

Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakho(n) Salaam

Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda
Banda-E Nange Khilqat Pe Laakho(n) Salaam

Mere Ustaad Maa-Baap Bhai Behen
Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakho(n) Salaam

Ek Mera Hi Rehmat Me D'awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho(n) Salaam

Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakho(n) Salaam

Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

www.naatlyrics.in


Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri