Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label N. Show all posts

Nami Danam Ke Akhir Chun Dam e Deedar Mi Raqsam Lyrics

Nami danam ke akhir chun dam e deedar mi raqsam
Magar nazam baeen zoqey ke peshey yaar mi raqsam

Biya jana tamasha kun ke dar ambohey ja bazan
Basad saman e ruswaee sarey bazar mi raqsam

Khusha rindi ke pama lash kunam sadd parsaee raa
Zahey taqwa ke maan ba jubba o dastar mi raqsam

Tuwan qatil ke az behrey tamashan khun e man rezee
Manan bismil ke zerey khanjarey khun khar mi raqsam

Manam Usman e Harooni wa yar e shaikh e mansooram
Malamat mee kunad khalqey waman bardar mi raqsam

Noor Ki Anjuman Fatima Lyrics

Noor ki anjuman Fatima
Markaz e Panjatan Fatima

Arsh se ban ke aayi hai tu
Murtaza ki dulhan Fatima

Kehkasha se ziyada haseen
Tere ghar ka chaman Fatima

Teri mamta ke hai do nayan
Ik Hussain Ik Hasan Fatima

Khuld ka Arsh par hai dimaag
Choo ke tere charan Fatima

Kab kisi maa ne paida kiye
Phir Hussain o Hasan Fatima

Tere Shauhar ke dar se mila
Humko rizqe sukhan Fatima

Gair ne jisko dekha nahi
Tera woh pairahan Fatima

Nibhaalo Tum Nibhaalo Tum Nibhaalo Ya RasoolAllah Naat Lyrics

Nibhaalo tum nibhaalo tum nibhaalo Ya RasoolAllah
Bulaalo ab Madine me bulaalo Ya RasoolAllah

Satate hai joh duniya waale iss ka kuch nahi hain gum
Mujhe bas apna keh kar tum bulaalo Ya Rasool Allah

Sunehri Jaaliyo ke saamne paucha hu mai Aaqa
Mujhe apni ziyarat tum karado Ya RasoolAllah

Meri qismat buri ho toh Khudara tum bhali kardo
Sawaaro meri qismat ko sanwaaro Ya RasoolAllah

Ataa ho ilm ki daulat ataa ho deed ki daulat
Dam e Aakhir Madina bhi ataa ho Ya RasoolAllah

Shafa`at ka sawaali hu sawaali hu mai rehmat ka
Ijaabat se nawaazo tum nawaazo Ya RasoolAllah

Moin e Raah e Taiba hai mere Khwaja Moinuddin
Moin e Raah e Jannat bhi banado Ya RasoolAllah

Tasadduq Ghaus e Aazam ka Tawassul Aala Hazrat ka
Baqee e Paak ke kaabil banado Ya RasoolAllah

Nigah e Mufti e Aazam ne zinda kardiya dil ko
Unhi ka saath mehshar me ataa ho Ya RasoolAllah

Tamanna yeh liye jaata hai Aaqa Shakir e Razvi
Isse Izne Madina phir ataa Ho Ya RasoolAllah

Noor Ki Anjuman Fatima Lyrics

Noor ki anjuman Fatima
Markaz e Panjatan Fatima

Arsh se ban ke aayi hai tu
Murtaza ki dulhan Fatima

Kehkasha se ziyada haseen
Tere ghar ka chaman Fatima

Teri mamta ke hai do nayan
Ik Hussain Ik Hasan Fatima

Khuld ka Arsh par hai dimaag
Chu ke tere charan Fatima

Kab kisi maa ne paida kiye
Phir Hussain o Hasan Fatima

Tere Shauhar ke dar se mila
Humko rizqe sukhan Fatima

Gair ne Jisko dekha nahi
Tera woh pairahan Fatima

Naara e Haidari Ya Ali Ya Ali Naat Lyrics

Jiske haatho me Zulf e Kaare Nabi
Jiske pehlu me hai shaahware Nabi
Dukhtar e Mustafa jiski dulhan bani
Jiske beto de nasle Nabi hai chali
Haa wahi haa wahi woh Ali o Wali
Naara e Haidari Ya Ali Ya Ali

Jiske baare me farmaye pyare Nabi
Jiska Maula hu mai uska Maula Ali
Jiski talwar ki jag me shohrat huwi
Jiske Kunbe se Rasm e Shuja'at chali
Haa wahi haa wahi woh Ali o Wali
Naara e Haidari Ya Ali Ya Ali

Joh Nabi ka huwa woh Ali ka huwa
Joh Ali ka huwa woh Nabi ka huwa
Ya Ali keh diya sara gum tal gaya
Woh hai Khaibar Shikan Aur Shair e Khuda
Naam se jinke har Ranj o Kulfat tali
Haa wahi haa wahi woh Ali o Wali
Naara e Haidari Ya Ali Ya Ali

Jisko Shah e Wilayat ka rutba mila
Jeete Jee jisko Jannat ka muzda mila
Sayyaid e Do Jahan jisko rutba mila
Silsile saare jis par huwe muntahi
Haa wahi haa wahi woh Ali o Wali
Naara e Haidari Ya Ali Ya Ali

Sayiyado ke wahi Jadd e Ala bhi hai
Mere Nana bhi hai mere Dada bhi hai
Mere Aaqa bhi hai mere Maula bhi hai
Nazmi tujhko joh nisbat unhi se mili
Haa wahi haa wahi woh Ali o Wali
Naara e Haidari Ya Ali Ya Ali

Ala Hazrat huwa jiska duniya me naam
Us Raza ne bataya Ali ka makaam
Jinke dar se hame Qadri nisbat mili
Aashiq teri dhadkane bas yahi keh uthi
Haa wahi haa wahi woh Ali o Wali
Naara e Haidari Ya Ali Ya Ali

Nabi De Sab Yaar Sohnay Naat Lyrics

Mai Ali Ali japdan phira ibaadat jaan ke
Zikr sachianda kara haq sach nu uchaan ke

Nabi de sab yaar sohnay inna de darbaar sohnay
Inna di har cheez vakhri inna de ghar baar sohnay
Inna de sardaar sohnay Nabi de sab yaar sohnay
Inna de darbaar sohnay Nabi de sab yaar sohnay
Mai Ali Ali japdan phira ibaadat jaan ke
Zikr sachianda kara haq sach nu uchaan ke

Jivay Deen ich masjid maqtab Kaaba te quran eh
Evay Buubakr Roh Umar te Haidar te Usman eh
Vadh to vadh saare sohnay Nazara anwaar da eh
Nabi de darbaar da eh Inna de dildaar sohnay
Nabi de sab yaar sohnay Inna de darbaar sohnay
Mai Ali Ali japdan phira ibaadat jaan ke
Zikr sachianda kara haq sach nu uchaan ke

Chaar e sacche chaar e sucche Chaar e Rab de pyaare
Kar ke sohnay nay tarbiyat Chaar e khoob nikhaare
Ba Adab Ba naseeb  Jo Inna da ghulaam ho gaya
Zamanay da imam ho gaya inna de mehmaar sohnay
Nabi de sab yaar sohnay inna de darbaar sohnay
Mai Ali Ali japdan phira ibaadat jaan ke
Zikr sachianda kara haq sach nu uchaan ke

Ahlebait nay deen di kashti te as haab sitaare
Ek dooje toh sadke vaari Aaqa de sab pyaare
Sab meri jaan lay eh ronak islam de nay
Eh jaanay iman de nay inna de kirdaar sohnay
Nabi de sab yaar sohnay inna de darbaar sohnay
Mai Ali Ali japdan phira ibaadat jaan ke
Zikr sachianda kara haq sach nu uchaan ke

Haq da haq ba dil da ba til sohnay nay kar chadh ya
Duniya te Shaikh Ul Islam nay haq da jhanda gadaya
Faiz hai Gaus jali da Karam mahraj de eh
Sadqa Minhaj da eh Eh ditta beshumaar sohnay
Nabi de sab yaar sohnay  Inna de darbaar sohnay
Mai Ali Ali japdan phira ibaadat jaan ke
Zikr sachianda kara haq sach nu uchaan ke

Noor nay inna chaaran kaulon Faiz Nabi da paaya
Phir muqqadar Ahlebait de Dar te aa chamakaya
Koi nai ghairiyat Eh saare Sarkar de nay
Eh pyaare sarkaar de nay Inna de manthaar sohnay
Nabi de sab yaar sohnay Inna de darbaar sohnay
Mai Ali Ali japdan phira ibaadat jaan ke
Zikr sachianda kara haq sach nu uchaan ke

Nabi Ki Yaad Se Dil Ko Basale Naat Lyrics

Nabi ki yaad se dil ko basale jis ka dil chahe
Dil e Vira ko jannat banale jis ka jee chahe

Madine se ghata uth uth ke rehmat ki barasti hai
Ab apne daaman ko bhigale jis ka jee chahe

Mere mazhab me hai duniya aur uqba ki nehmat bhi
Musalman ban ke yeh daulat kamale jiska jee chahe

Sada tauhid ki masjid se subah wa shaam aati hai
Khuda ke dar pe apna sar jhukale jis ka jee chahe

Nabi ke maikade me aam hai rehmat ka paimana
Aam hai badh kar uthale jis ka jee chahe

Yeh duniya chaar din ki chandni hai aye Muslimo
Aamal se apne Khalik ko mana le jis ka jee chahe

Nazdik Aa Raha Hai Ramzan Ka Mahina Naat Lyrics

Nazdik aa raha hai Ramzan ka mahina
Saahil se haajiyo ka fir aa laga safina

Dil ro raha hai jinka aansu chalak rahe hai
Un aashiqo ko sadqa bulwaiye Madina

Roaze ko dekhne ko aankhe taras rahi hai
Aye Waaliy e Madina ab toh bulaiye Madine

Bas aarzoo yahi hai qadmo me jaan nikle
Pyaare nabi hamara madfan bane Madina

Aye bekaso ke Humdum duniya ke door hoo gam
Bas jaye dil me Kaaba seena bane Madina

Attar ki huzuri ki aarzoo ho puri
Ho jaye door duri aye Waaliy e Madina

Nooriyo Aao Zara Qasmi Jalsa Dekho Naat Lyrics

Nooriyo aao zara Qasmi jalsa dekho
Noori chehro se naya noor chalakta dekho

Shahe Qasim ka yeh darbar saja Shahana
Noor inaam har ek gaam pe bat ta dekho

Nisbate apni yaha aake karo mustahkam
Arze Marehra me barkat ka dariya dekho

Achche Suthre ki tab o taab pe waari jau
Aale Ahmed ka har ek simt ujala dekho

Qadri maikada phir saj gaya Marehra me
Maye Baghdad se har jaam chalakta dekho

Qutbe Kaaki ki tausat se mili Chistiyat
Meer Sughra me rukhe Khwaja ka jalwa dekho

Arze Marehra pe Ajmer ke Noori saaye
Khwaja e Chisti ka mazboot ye qila dekho

Aao barkaatiyo murshid ke kareeb aa jao
Aur nazdeek se noorani yeh chehra dekho

Peer ka chehra sajaye rakho dil ke andar
Chasme dil kholo zara peer ko qibla dekho

Peere bepeer ko tum peer na karna apna
Bikne Barkat me bas zikr Raza ka dekho

Partawe Kilke Raza hai miya Nazmi ka qalam
Iski tehreer me bas rang Raza ka dekho

Nazar Ek Chaman Se Do Chaar Hai Naat Lyrics

Nazar ek chaman se do chaar hai
Ki chaman chaman bhi nisaar hai
ajab uske gul ki bahar hai
Ki bahar bulbule jhaar hai

Woh hai bheeni bheeni waha mahak
Ki basa hai arsh se farsh tak
Woh hai pyaari pyaari waha chamak
Ki shab bhi nihaar hai

Woh na the toh baag me kuch na tha
Woh na ho toh baag me kuch na sab fanaa
Woh hi jaan jaan se hai baka
Wahi bun hai bun se hi baar hai

Rasoolo(n) malak pe duruud ho
Wahi jaane unke shumaar ko
Magar ek aisa dikhado toh
Jo Shafiye roaze shumaar hai

Gunhe Raza ka hisaab kya
Woh agarche laakho se hai siva
Magar aay Afu tere Afwa
Ka na hisaab hai na shumaar hai

Noore Khazra Se Dil Jagmaga Lijiye Naat lyrics

Noore Khazra se dil jagmaga lijiye
Apna sina Madina bana lijiye

Jo bhi dekhe Muhammad ka shaida kahe
Apna kirdaar aisa bana lijiye

Zeheno dil par ho taari udaasi agar
Naat e SalleAllah gunguna lijiye

Dushmani par tula hai yeh sara jaha
Ab khabar aye mere Mustafa lijiye

Ab to aane ko hi hai pyaame azal
Mujhko sarkar Taiba bula lijiye

Aaftab e Qiyamat hi shola fagan
Apne daaman me Aaqa chupa lijiye

Peshe Khazra pahuch kar adab ke liye
Soaz apni nigahe jhuka dijiye

Na Chedo Zikre Jannat Naat lyrics

Na chedo zikre jannat
Ab Madina yaad aaya hai
Nabi ka Sabz Gumbad
Dil ki aankho me samaya hai

Mila karti hai muh mangi
Murade unke rouze par
Gulamo ne tere dar se
Jo manga hai woh paaya hai

Khuda ki saltanat ke tum
Ho dulha Ya RasoolAllah
Tumhare vaaste rab ne
Yeh sab aalam sajaya hai

Shabe isra mubarakbaad di
Yeh huuro gilmo ne
Muhammad ko Khuda e Paak
Ne dulha banaya hai

Namazo me azaan me
Kalima me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam tera
Naam se apna milaya hai

Zamin ko chirte huye
Aaye hai khidmat me
Darakhto ne ishara
Aapka jis waqt paaya hai

Tumhari zaat par kyu kar
Bharosa ho na aalam ko
Gunahgaar ko tumne
Naare dozak se bachaya hai

Ijabaat ne liya bosa
Tumhare pyaare hoto ka
Dua ke vaaste jis waqt
Tumne lab hilaya hai

Koi pursaane haal apna
Nahi hai Ya RasoolAllah
Jo apne hai toh tu hai
Aur baaki sab paraaya hai

Sanaye Mustafa woh bhi
Rivayate Sahiha se
Jamil e Qadri kya khoob
Tere paas maaya hai

Noor Se Apne Sarwar e Alam Naat Lyrics

Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye
Ghum ke maaro dukhiyaro ko
Seene se lagane aaye

Noore Nigare Ambiya
Mere Huzoor aa gaye
Shano Nishaan E Kibriya
Mere Huzoor aa gaye
Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye

Nikhra hua hai Ru e Gul
Faili hui Hai Bu e Gul
Banke Bahaar E Jaan Fiza
Mere Huzoor aa Gaye
Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye

Ashqo se bhar ke jholiya
Aankhe bicha do raah me
Salle Alaa ki do sadaa
Mere Huzoor aa Gaye
Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye

Sayim Kalaam E Zouk se
Kalbo nazar ko Shauk se
Raho me aaj do bicha
Mere Huzoor aa gaye
Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye

Arsh E Bari ki rounake
Farsh E Zameen par aa gayi
Sajde ko jhuk gaya aasman
Mere Huzoor aa gaye
Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye

Chatki hui hai chaandni
Faili hui hai roshni
Dariya rawa hai Noor ka
Mere Huzoor aa gaye
Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye


Mehfil ko ab sawaar lo
Dil ka chaman nikhar lo
Kardo charaga Jaa-Baja
Mere Huzoor aa gaye
Noor se apne Sarwar E Aalam
Duniya jagmagane aaye

Naat Padhte Hai By Tahir Qadri Naat Lyrics

Taajub kya agar shayar sukhanwar naat parte hai
Ke abujahal ki muthi me kankar naat parte hai

Yaha par munkiro ko naat se takleef hoti hai
Waha shehre Madina me kabutar naat parte hai

Madine ki judaai jab satati hai garibo ko
Wo apne peer ka daaman pakad kar naat parte hai

Yazido ke kaleje fat ne lagte hai adawat se
Hussaini kafile me jab bahatar naat parte hai

Woh jis masjid me Aaqa sunn te te
Hassan se naate waha pe aaj bhi
Mehrab o Mimbar naat parte hai

Hamari naat Darbar e Risalat tak pahuch jaye
Jabhi toh hum Durood e Paak par kar naat parte hai

Dua maa baap ki hai aur karam Rab e Akbar ka
Nabi ki bazm me Ahsan aur Tahir naat parte hai

Nabi Ka Jashn Aaya Hai Naat Lyrics By Owais Qadri

Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Nabi ka Jashn Aaya, Chand Taaro Jhoomte Rehna
Nabi ke Naam Par Ae Namdaro, Jhoomte Rehna
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Jahan Mein Noor Le Kar Noor Wala Aane Wala Hai
Mere Hamrah Tum Bhi Dil Ke Taaro Jhoomte Rehna
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Marha Aaqa ki Amad, Marhaba, Daata ki Amad, Marhaba, Mola ki Amad, Marba
Malja Ki Amad, Aala Ki Amad Marhaba, Aula Ki Amad Marba,
Sohne Ki Amad Marhaba, Jaana Ki Amad Marhaba,
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Gali Koochay Saja Dena, Haray Jhanday Laga Dena
Gali Koochay Saja Dena, Haray Jhanday Laga Dena
Taqaza Ishq Ka Hai Mere Yaro Jhoomte Rehna
Taqaza Ishq Ka Hai Mere Yaro Jhoomte Rehna
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Nabi e Sarwar e Kaunain ki Amad ke Lamhon Mein
Durood e Pak Parte Parte Saare Jhoomte Rehna
Durood e Pak Parte Parte Saare Jhoomte Rehna
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Marha Aaqa ki Amad, Marhaba, Daata ki Amad, Marhaba, Mola ki Amad, Marba
Malja Ki Amad, Aala Ki Amad Marhaba, Aula Ki Amad Marba,
Sohne Ki Amad Marhaba, Jaana Ki Amad Marhaba,
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Masawat o Akhowat Ka Payaam e Dilnasheen Laaye
Khushi Mein ae Gareebo, Maaldaro jhoomte Rehna
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

Woh aaye Gamkade Mein, Ek Khushi ki Roshni Phooti
Khuda Ke Shukar Mein, Ae Gam ke maaro Jhoomte Rehna
Marhaba marhaba Marhaba Marhaba Ya Mustafa

www.naatlyrics.in

Namey Muhammad Kitna Mitha Mitha Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Yade Nabi Ka Gulshan Mehka, Mehka Lagta Hai
Mehfil Mein Maujud Hain Aqa Aisa Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Lab Par Naghmey Salley Ala Ke Hathon Mein Kashkol
Dekho To Sarkar Ka Mangta Kaisa Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Ghauso, Qutb, Abdaal, Qalandar, Sab Unke Mohtaj
Mera Aqa Sab Waliyon Ka Aqa Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Yade Nabi Mein Har Dam Rona Achchha Lagta Hai
Hum Bhi Taibah Jaengey Ab Aisa Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Yade Nabi Mein Rone Wala Hum Diwanon Ko
Lakh Paraya Ho Woh Phir Bhi Apna Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Unke Dar Se Palne Wale, Apna Aap Jawab
Koi Ghaus Al Azam, Koi Khwaja Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Siddique-o-umar, Usman-o-ali, Aur Khalid-o-zaid-o-bilal
Baithe Hon Darbare Nabi Mein Kaisa Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai

Zikre Nabi Se Raushan Anjum, Sara Jag Pur Noor
Salley Ala Tum Parh Ke Dekho Kaisa Lagta Hai

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai
Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai
www.naatlyrics.in

Najdiya Sakht hi Gandi Hai Tabiyat Teri

Najdiya Sakht hi Gandi Hai Tabiyat Teri
Kufr Kiya Shirk Ka Fuzla Hai Nijasat Teri

Khaak Munh Mein Tere Kehta Hai Kise Khaak Ka Dher
Mit Gaya Deen Mili Khaak Mein Izzat Teri

Tere Nazdeek Huaa Kizb-e-Ilaahi Mumkin
Tujhpe Shaitan Ki Fatkaar Yeh Himmat Teri

Balke Kajjab Kiya Toone tu iqraar-o-W aqoo'a
Uff Re Napaak Yahan Tak hai Khabasat Teri

Ilm Shaitan Ka Hua Ilm-e-Nabi Se Zayed
Padhun Lahoul Na Kiyon Dekh Ke Soorat Teri

Bazm-e-Mee lad Ho Kaanha Ke Janam Se Badtar
Arre Andhe Arre Mardood Yeh Jur'at Teri

ilm-e-Ghaibi Mein Majnoon-o -Bahayem Ka Shumool
Kufr Aamez Junu'n Za Hai Jihalat Teri

Yaad-e-Kha r Se ho Namazo Mein Khyal Unka Bura
Uff Jahannam Ke Gadhe Uff Ye KharafatTeri

Unki Tazeem karega na Agar Waqt-e-Nam az
Maari Jayegi Tere Munh Pe Ibadat Teri

Hai Kabhi Boom ki Hillat to Kabhi Zaagh Halal
Jeefa Khwari Ki Kahin Jati Hai Aadat Teri

Hans Ki Chaal to Kiya Aati Gayi Apni Bhi
Ijtihadon Se Hi Zahir Hai Himaqat Teri

Khule Lafzo Mein Kahe Qazi-e-Sho ka'n Madade
Yaa Ali Sun ke Bigad Jaye Tabiyat Teri

Teri Atke to Wakeelo'n Se Kare istimdaad
Aur Tabeebo'n Se Madad Khwah ho illatTeri

Hum Jo Allah Ke Piyaron se i'aanat Chahein
Shirk Ka Chirk Ugalne Lage Millat Teri

Abd-e-Waha b Ka Beta Hua Shaikh-e-N ajdi
Uski Taqleed Se sabit Hai Zalalat Teri

Ussi Mushrik Ki Tasneef Hai Kitab-ul-T ouheed
Jiske Her fiqra Pe Hai Mohr-e-Sad aqat Teri

Tarjuma Uska Hua Taqviyatul -eiman Naam
Jisse Benoor Huee Chashm-e-B aseerat Teri

Waqif-e-Gh aib Ka irshad Sunaau'n Jisne
Kholdi Tujhse Bahut Pehle Haqeeqat Teri

Zalzale Najd Mein Paida Ho Fitan Barpa Ho
Yani Zahir Ho zamana Mein Sharart Teri

Ho Ussi Khaak Se Shaitan Ki Sangat Paida
Dekh Le Aaj Hai Moujood Jama'at Teri

Sar Munde Honge to Pajame Ghutne Honge
Sar Se Paa Tak Yahi Poori Hai ShabahatTeri

Ad-dua Hoga Hadeeso Pe Amal Kerne Ka
Naam Rakhti Yahi Apna Jama'at Teri

Lekin Utrega Na Qur'aan Gale Se Neeche
Abhi Ghhabra Nahi Baqi Hai Hikayat Teri

Nikleinge Deen se Yoon Jaise Nishana Se Teer
Aaj Us Teer Ki Hai Sangeet Teri

Apni Halat Ko Hadeeson Ke Mutabiq Ker Le
Aap Khul Jayegi Fir Tujh Pe Khabasat Teri

Chhorh Ker Zikr Tera Ab Hai Khitab Apno se
Ke Hai Mabghooz Mujhe Dil se Hikayat Teri

Mere Piyare Mere Apne Mere Sunni Bhai
Aaj Kerni Mujhe Tujhse Shikayat Teri

Tujh se Jo Kehta Hun Tu Dil se Sun Insaf Bhi Ker
Kare Allah Ki Toufeeq Himayat Teri

Gar Tere Baap Ko Gaali de Koi Be Tehzeeb
Ghussa Aaye Abhi Kuch Aur Ho Halat Teri

Galiya'n Dein Unhe Shaitan-e- La'een KePairu
Jinke Sadqe Mein Hai Her Doulat-o-N emat Teri

Jo Tujhe Pyar Karein Jo Tujhe Apna Farmayein
Jinke Dil Ko Kare BeChain Aziyyat Teri

Jo Tere Waste Takleefein Uthayein Kiya Kiya
Apne Aaram se Pyari Jinhe Soorat Teri

Jaag Ker Ratein Ibadat Mein Jinhone Kaati
Kis Liye iss Liye Kat Jaye Museebat Teri

Hashr Ka Din Nahi Jis Roz Kisi Ka Koi
Uss Qayamat Mein Jo Farmayein Shafa'at Teri

Unke Dushman se Tujhe Rabt Rahe Mel Rahe
Sharm Allah Se Ker Kiya Huee Ghairat Teri

Toone Kiya Baap Ko Samjha Hai ziyada Unse
Josh Mein Aayi Jo Is Darja Hararat Teri

Unke Dushman Ko Agr Toone Na Samjha Dushman
Wo Qayamat Mein Na Kareinge RifaqatTeri

Unke Dushman Ka Jo Dushman Nahi Sach Kehta Hoon
Dawa Be Asl Hai Jhooti Hai Mohabbat Teri

Balke Eimaan Ki Jo Pooche to Hai Eiman Yahi
Unse ishq Unke Adu se Ho Adawat Teri

Ahl-e-Sunnat Ka Amal Teri Ghazal Pe HoHasan
Jab Main Janu Ke Thikane Lagi Mehnat Teri.

Naseeba Khol De Mera

Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera
Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

Kaddi o ghariyan vee avan, Madinay ral mil jawan
Mey naata parda parda, mey veyka rouzah tera
Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

Mey veyka rouzay dee jaali, o jaali karma wali
Dikha de meynu khuda ra, mey veyka rouzah tera
Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

Ghouas piya ka sadqa, Khwaajah Fareed da sadqa
Way qutb Madiney da sadqa, mey veyka rowa tera
Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

Khabar kadun bulana, meynu mehboob Madiney
cheytee sadlo aaqa, mey veyka rouzah tera
Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

Madina lagta hey piyaara, Madina dil da sahara
Madina le chal meynu, mey veyka rouzah tera
Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

Ik wari jaa key Madiney, murna fir main aawan
Soney tey dar tey jaa key, mey veyka rouzah tera
Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera

Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera.

www.naatlyrics.in

Ne’amatein Baant Ta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya

Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dahyan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya

Dil he woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya

Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman gaya

Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahonche
Tum nahin chalte Raza sara to samaan gaya

www.naatlyrics.in

Noorani Darbaar Madine Waale Ka

Har sooe izhaar Madine Waale ka
Noorani darbaar Madine Waale ka

Le ke chalo ab mujh ko Madine leke chalo
Me to hoon bimaar Madine Waale ka

Mujhko hoga naaz ke jab ye logh kahe
Ye manghta he Sarkaar Madine Waale ka

Le ke chalo ab mujh ko Madine leke chalo
Me to hoon bimaar Madine Waale ka

Mere dil ki yehi ekh tamanna he
Ke hojaye didaar Madine Waale ka

Meri Dua he mehfil me moujood he jo
Sab dekhe Darbaar Madine Waale ka

Le ke chalo ab mujh ko Madine leke chalo
Me to hoon bimaar Madine Waale ka

Jannati he woh Jannati he who Jannati
Jis ke dil me Pyaar Madine Waale ka

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri