Bazm hai nayabe Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki
Har taraf Majma e Auliya hai
Har bashar ke yeh wirde zaban hai
Noor hi noor ka ek sama hai
Is dulha ke Ali barati
Is dulha ke Wali barati
Ali barati Wali barati
Khwaja Usman bhi hai aaye
Khwaja Qutub hain jhanda uthaye
Baba Fareed bhi wajd me aaye
Nizamuddin aur Sabir kehte jaye
Hai chati aaj Khwaja piya ki
Dhaule gumbad ki ab shaan dekho
Dhaule gumbad ki ab aan dekho
Mere Khwaja ki yeh shaan dekho
Hind ka joh hai Sultan dekho
Sab ke dil me hai armaan dekho
Dekhni hai gali Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki
Kyunki gareeb dar pe Tere aaye hai Gareeb Nawaz
Karo Gareeb Nawazi mere Gareeb Nawaz
Tumhare dar pe karamat yeh baarha dekhi
Ke gareeb aaye the aur ho gaye Gareeb Nawaz
Tumhari zaat se mera bada ta`alluk hai Ya Khwaja
Ke mai gareeb bade Tum bade Gareeb Nawaz
Niyaz naaz ka kitna haseen manzar hai
Ke idhar gareeb khade hain udhar Gareeb Nawaz
Dhaule gumbad ki ab aan dekho
Mere khwaja ki yeh shaan dekho
Koi khali haath na jaye
Daaman bhar bhar kar le jaye
Rota aaye hasta jaaye
Dekh Ata e Khwaja fir wo gaaye
Hai chati aaj Khwaja piya ki
Apne Rizwan pe itna karam ho
Sar Tere aastane pe kham ho
Aankh bhi Ishq e Ahmed me namm ho
Saans jab tak chale dum me dum ho
Naat padhta rahe Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki