Dar e Nabi par yeh umr beete ho hum pe Lutf e Dawaam aisa
Madina waale kahe maqaami ho unke dar par qayaam aisa
Yeh Rifat e Zikr e Mustafa hai nahi kisi ka maqaam aisa
Jo baad Zikr e Khuda hai afzal hai Zikr e Khair ul Anaam aisa
Joh ghamzado ko gale laga le buro ko daaman me joh chupa le
Hai dusra kaun is jaha me Siwa e Khair ul Anaam aisa
Bilal tuj par nisaar jau ke khud nabi nain tujhe kharida
Naseeb ho toh naseeb aisa ghulam ho toh ghulam aisa
Namaaz aqsa me jab padhai toh Ambiya o Rasool yeh bole
Namaaz ho toh namaz aisi Imaam ho toh imaam aisa