Ramzan Kareem Hai Naat Lyrics

Bakhshish ka silsila hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai
Rehmat ka aasra hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai

Jo mango mil raha hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai
Ye faiz aur sakha hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai

Aye bekaso aye mujrimo aye aasiyo suno
Gaffaar kibriya hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai

Har lehza barasti hai joh rehmat ki barishe
Ye Rab ka mahina hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai

Bakhsha gaya joh aamade Ramzaa(n) pe khush hua
Kya paya martaba hai Ramzaa(n) Kareem hai

Isko mila sharaf hai nuzule Qur'an ka
Jo rehmato shifa hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai

Shaitaan hai fikar na dozakh ka koi dar
Dar khuld ka bhi wa hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai

Tujhko naseeb hogi bahare haram bhi ab
Tune joh paaliya hai Ye Ramzan Kareem hai

Sayyed Khuda ka shukr aada kar ke zeest me
Baare digar mila hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri