Khate hai tere dar ka peete hai tere dar ka
Paani hai tera paani daana hai tera daana
Tu Shamme Risaalat hai Aalam tera parwana
Tu Mahe Nabuuwat hai aye Jalwa e Jaanana
Sar shah hame karde ek Jaam e Laba lab se
Ta hashr rahe saaqi aabad yeh maikhana
Dil apna chamak utthe Iman ki tal`at se
Kar aanke bhi Noorani aye Jalwa e Jaanana
Har phool me bu teri har shamma me zau teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana
Tum aayi chati bazi raunak huwi phir taazi
Kaaba huwa phir kaaba kar dala tha butt khana
Is dar ki huzuri hi isiaa ki dawa tehri
Hai zehr ma’asi ka Taiba hi shifa khana
Ghir par ke yaha pohcha mar mar ke isse paaya
Chhute na illahi ab sange dare jaanana
Sange dare jaana par karta hu jabi saai
Sajda na samaj najdi sar de ta hu nazrana
Sarkar ke jalwo se raushan hai Dil e Noori
Taa hashr rahe raushan noori ka yeh kashaana