Maula Ali Maula Maula Ali Maula Lyrics

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Shah e Marda Sheyr e Yazda Quwat e Parwardigaar
Lafata illah Ali la Saif illah Zulfiqar

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Keu Dakhl De Rahe Ho Aqeedat Ke Baab Me
Dekho Ye Mamla Humara Ali Ka Hai
Hum Sar Mast Chahne Wale Ali Ke Hai
Dil Pe Humare Sirf Ejaara Ali Ka Hai

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Jangle Pahad Karte Hai Naad E Ali Ali
Mushkil Ko Meri Hal Karo Mushkil Kusha Ali

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Tan Par Ali Ali Ho Zuban Par Ali Ali
Mar Jau To Kafan Pe Bhi Likhna Ali Ali

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Kabhi Zanjeer Hilti Hai Kabhi Dar Kaap Jata Hai
Ali Ka Naam Sun Kar Ab Bhi Khaibar Kaap Jata Hai

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Beydum Yahi To Panch Hai Maqsood E Qayenaat
Khairunnisa Husain Hasan Mustafa Ali

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Khulus E Dil Se Jo Ali Ka Naam Leta Hai
Wahi To Lazzate Umre Tamaam Leta Hai
Khuda Ke Bando Suno Gaur Se Khuda Ki Qasam
Ali Ka Naam To Girto Ko Thaam Leta Hai

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Baag E Jannat Me Khuda Ne Azali Likha Hai
Dali Dali Pe Nabi Aur Ali Likha Hai
Sabz Patto Par Husain Aur Kali Par Zahra
Surkh Phoolo Pe Husain Ibn E Ali Likha Hai

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Bagair Hubbe Ali Mudaa Nahi Milta
Ibadato Ka Bhi Hargiz Sila Nahi Milta
Khuda Ke Bando Suno Gaur Se Khuda Ki Qasam
Jise Ali Nahi Milte Khuda Nahi Milta

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Maslak Pata Chalega Agar Khul Ke Baat Ho
Hum To Ali Ke Sath Hai Tum Kiske Sath Ho

Maula Ali Maula Maula Ali Maula
Maula Ali Maula Maula Ali Maula

Nahi Mere Ache Amal Gaus ul Aazam Lyrics

Nahi mere ache amal Gaus ul Aazam
Magar tum pe rakhta hu bal Gaus ul Aazam

Joh duniya me hoga madad khwaah unse
Sambhalenge kal uski kul Gaus ul Aazam

Khilaade kali dil ki mai tere sadqe
Pareshaan hu aaj kal Gaus ul Aazam

Hai mushkil kusha jadde Amjad tumhare
Karo mere uqdo ka hal Gaus ul Aazam

Tamanna hai dil me ke Baghdad pohochu
Wahi mujhko aaye ajal Gaus ul Aazam

Jameel Aarzu hai ke mujh ko bulakar
Sune mujhse khud yeh Gazal Gaus ul Aazam


Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Lyrics

Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Idhar bhi nigahe karam Gaus e Azam
Karo door ranjo alam Gaus e Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Khilata pilata hai rabbe do alam
Tuje deke apni kasam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Muje khwaab me aake jalwa dikha do
Karo aaj ki shab karam Gaus e Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Tera hu mai tera mere is kahe ka
Sare hashr rakhna bharam Gaus e Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Kahi gir na jaau khudara sambhalo
Mere dagmagaye kadam Gaus e Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Bohot chubh raha hai khudara nikalo
Mere dil se teere alam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Tumhare hi dar ka rahu mai bhikari
Nahi khvahishe Takhte jam Gaus e Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Jila payega dil Ubaide Raza ka
Zara rakh do apna kadam Gaus e Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jilani

Sun Lo Aye Peeron Ke Peer Lyrics

Sun lo aye peero ke peer Gaus ul Azam dastagir
Badlo meri bhi taqdir Gaus ul Azam Dastagir

Mai hu tumhare dar ka bikhari aye Shah e Baghdad
Wasta tum ko pyare Nabi ka sunn lo meri fariyaad
Tod do gardish ki zanjir Gaus ul Azam dastagir

Dar se tumne apne kisi mangte ko nahi hai taala
Aal e Nabi ka sadka tumne jholli me hai daala
Bade Peer be Nazir Gaus ul Azam dastagir

Gaus piya Gilani tumhari shaan pe mai qurbaan
Mai bhi tumhare dar pe aau dil mai hai armaan
De do khwabo ki taabeer Gaus ul Azam dastagir

Apni mehfil mai aa kar ab jalwe sab ko dikhana
Qaadri saare jhoom rahe hai sab ke bhaag jagana
Aao aye Peera Ne Peer Gaus ul Azam Dastagir

Gaus Piya yeh adna kamal ab apni muradaye paye
Dar pe tumhare hazari de de aur Madine jaye
Kar do kuch aisi tadbir Gaus ul Azam dastagir

Qadira Sarwara Rehnuma Lyrics

Qaadira sarwara rehnuma dastagir
Gaus e Azam Imaam e Mubi Be Nazir

Zikr se tere tal jaye sab mushkile
Naam se tere paaye rihayi asir

Tere zere qadam auliya aasfiya
Sarware sarwara Peer e Roshan zamir

Tu jise chahe de jis kadar chahe de
Teri bakshish nirali ata Be Nazeer

Kuch nahi chahte aur tere siwa
Kaise sultan hai tere dar ke fakir

Yeh wazifa hai har gham ka darma waqar
Gaus e Aazam Madad Al Madad Dastagir

Allah Bohat Bada Hai Lyrics

Gar waqt aa pada hai mayoos kyu khada hai
Allah bohat bada hai Allah bohat bada hai

Maana ke zulmato ke har simt hai basere
Lekin kabhi toh honge insaaf ke savere
Mehkenge ghunche aur phool Gaayegi koi bulbul
Haalaath ki sadaa hai Allah bohat bada hai

Gar waqt aa pada hai mayoos kyu khada hai
Allah bohat bada hai Allah bohat bada hai

Pathreli waadiyo me woh dekh gar nazar hai
Choori tale pisar hai ek khwaab ka asar hai
Choori nahi chali kyu gardan nahi kati kyu
Kiska hukam chala hai Allah bohat bada hai

Gar waqt aa pada hai mayoos kyu khada hai
Allah bohat bada hai Allah bohat bada hai

Kahroh jabar ke buth yeh joh saamne khade hai
Paani ke bulbule hai bus naam k bade hai
Ek kunn ki maar hai yeh jitne gawaar hai yeh
Tareeqi silsilaa hai yeh Allah bohat bada hai

Gar waqt aa pada hai mayoos kyu khada hai
Allah bohat bada hai Allah bohat bada hai

Yeh khoon bekaso ka jayega rayega naa
Hum dekhe ya na dekhe dekhega yeh zamana
Utthegi koi chingaari aayegi unki baari
Khudrat ka faisla hai Allah bohat bada hai

Gar waqt aa pada hai mayoos kyu khada hai
Allah bohat bada hai Allah bohat bada hai

Firoun aur paani hogayi khatam kahani
Baccho se abu jahel ki chhinwayi zindagani
Allah ke kaam saare Din ko dikhaye taare
Kaisa asar huwa hai Allah bohat bada hai

Gar waqt aa pada hai mayoos kyu khada hai
Allah bohat bada hai Allah bohat bada hai


Madina Madina Kalam e Khushtar Naat Lyrics

Joh huwa Navasa e Mustafa
Woh Ali ka beta Hussain hai
Joh yazeediyat ko fanah kare
Chale karbala woh Hussain hai
Bibi Fatima ka woh laadla
Mera badshah woh Hussain hai

Kya sunau waakiya karbala
Hae teer neza kaha laga
Jisse chumate rahe mustafa
Woh Hussaini sar tha kata huwa
Saara ghar ka ghar bhi loota diya
Woh joh kar gaya woh Hussain hai

Yahi bole Hazrat e Hoor shaha
Yaa Hussain aapka shukriya
Ke yazeediyo se nikal kar
Joh hussainiyo me bitha diya
Mujhe manzilo ka pata diya
Mera rehnuma woh Hussain hai

Woh bhi bada kitna ajeeb hai
Joh kahe yazeed bhi thik hai
Yaa Hussaini ban ya yazeedi ban
Aise jooth me sharik hai
Kyu do kashtiyo ka savar hai
Joh hai haqnuma woh Hussain hai

Joh Dar e Hussain pe aa gaya
Saari mannato ko woh paa gaya
Yeh gharaana Aal e Nabi ka hai
Joh sakhavato ko sikha gaya
Joh fakir ko kare badshah
Aisa badshah woh Hussain hai

Yeh wazfa hai meri naukari
Mai padunga nade Ali Ali
Mai piyunga Jaam e Tarangari
Mai lagau Naara e Haidari
Do Ujager ishk mai yeh sada
Mujhe mil gaya woh Hussain hai


Mera Maula Maula Hussain Hai Manqabat Lyrics

Joh huwa Navasa e Mustafa
Woh Ali ka beta Hussain hai
Joh yazeediyat ko fanah kare
Chale karbala woh Hussain hai
Bibi Fatima ka woh laadla
Mera badshah woh Hussain hai

Kya sunau waakiya karbala
Hae teer neza kaha laga
Jisse chumate rahe mustafa
Woh Hussaini sar tha kata huwa
Saara ghar ka ghar bhi loota diya
Woh joh kar gaya woh Hussain hai

Yahi bole Hazrat e Hoor shaha
Yaa Hussain aapka shukriya
Ke yazeediyo se nikal kar
Joh hussainiyo me bitha diya
Mujhe manzilo ka pata diya
Mera rehnuma woh Hussain hai

Woh bhi bada kitna ajeeb hai
Joh kahe yazeed bhi thik hai
Yaa Hussaini ban ya yazeedi ban
Aise jooth me sharik hai
Kyu do kashtiyo ka savar hai
Joh hai haqnuma woh Hussain hai

Joh Dar e Hussain pe aa gaya
Saari mannato ko woh paa gaya
Yeh gharaana Aal e Nabi ka hai
Joh sakhavato ko sikha gaya
Joh fakir ko kare badshah
Aisa badshah woh Hussain hai

Yeh wazfa hai meri naukari
Mai padunga nade Ali Ali
Mai piyunga Jaam e Tarangari
Mai lagau Naara e Haidari
Do Ujager ishk mai yeh sada
Mujhe mil gaya woh Hussain hai

Tumhari Hi Chaukhat Mera Ek Sahara Lyrics

Tumhari hi chaukhat mera ek sahara
Tumhare hi tukdo me mera guzara

Bhawar me phasi hai yeh ummat ki kashti
Ata kardo isko Khudara kinara

Mitey dam zadan me mere saare isiya
Agar aap ek baar kardo ishara

Mujhe haath uthane se pehle mila hai
Tumhi ne Shaha haal mera sawara

Mujhe kaash aaye Mehshar woh lamha
Karu mai Shah e Ambiya ka nazara

Guzaru umr Khidmat e Deen me Ya Rab
Karu Jaan o Dil deen ki khatir nisaara

Mile gar Madine me do gaz zameen toh
Mai kar baithu saare jahan se kinara

Dam e Waapsi jab Madine me pohochu
Na lautu mai Soo e Watan phir doobara

Mere Mustafa ab karam ki nazar ho
Khada Hai yeh chaukhat pe Shakir tumhara


Mai Sajda Karoon Ya Ke Dil Ko Sambhalu Lyrics

Mai sajda karu ya ke dil ko sambhalu
Ke Aaqa ki chaukhat nazar aa rahi hai
Isi bekhudi me kahi kho na jau
Tadap Noor waale ki tadpa rahi hai

Do aalam ke Daata mere saamne hai
Ke Kaabe ka Kaaba mere saamne hai
Ada kyu na Farz e Muhabbat karu mai
Khuda ki khudayi jhuki ja rahi hai

Gale me hai zulfe toh neechi nigaahe
Nazar choomti hai Madine ki raahe
Farishte bhi badhar kadam choomte hai
Muhammad ki jogan chali aa rahi hai

Faqeeri ka mujh me nahi hai saliqa
Na aata hai kuch maangne ka tariqa
Idhar bhi nigaahe karam Noor waale
Zamaane ki jholi bhari ja rahi hai

Farishto Sarr e Raah ankhe bicha do
Utho Behre Tazeem sar kojJhuka do
Khuda keh raha hai mere Dilruba Ki
Woh dekho sawaari chali aa rahi hai

Yeh farmaya Haq ne ke pyare Muhammad
Hamare ho tum hum tumhare Muhammad
Hame apne jalwo me aye Kamli Waale
Tumhari hi soorat nazar aa rahi hai

Yeh jazba muhabbat hai rehmat khuda ki
Hai chaukhat mere samne Mustafa  ki
Mujhe kyu na ho naaz qismat pe muslim
Muhabbat kahaa ki kahaa la rahi hai

Kalma Sharif By Milad Raza Qadri Lyrics

Illallahu Ilallah Ilallaho Ilallah
Ilallaho Ilallah Ilallahu Ilallah

Haq La Ilaaha Ilallah
Haq La Ilaaha Ilallah

Khudi ka sirey nihan
La Ilaaha Ilallah
Khudi hai Tegh e fasaan
La Ilaaha Ilallah

Haq La Ilaaha Ilallah
Haq La Ilaaha Ilallah

Kisi nay pucha ke
Jannat ki koi kimat hai
Toh Mustafa ne kaha
La Ilaha Illallah

Haq La Ilaha Illallah
Haq La Ilaha Illallah

Yeh daur apne baraheem
Ki talash me hai
Sanam kada hai jahan
La Ilaaha Ilallah

Haq La Ilaaha Ilallah
Haq La Ilaaha Ilallah

Agarchay boot hain
Jama'at ki asteenoon me
Mujhe hai Hukm e Azaan
La Ilaha Illalla

Haq La Ilaha Illallah
Haq La Ilaha Illallah


Choote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Moinuddin Lyrics

Chootey na kabhi tera daaman
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Hai tum pe fida sab tan mann dann
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Ajmer mujhe pohochaade Khuda
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Yeh sadqa karu tan mann apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Farzande Ali ho Noor e Nabi
Mehboob e Khuda hain zaat teri
Ek baar dikha Rauza Apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Kaaba ho Madinaho ya Najaf
har sampt nazar tum aate ho
Kuch aisi lagi hai tum se lagan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Waliyon ke wali ho tum Khwaja
Aur ibne sakhi ho tum Khwaja
Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Aqaa ki atah woh Noor e Ali
Zahrah ki kali waliyo ke wali
Hasnain ke dil Usmaan ke nayan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri