Unki mahek ne dil ke ghunche khila diye hai
Jis raah chal diye hai kooche basa diye hai
Ik dil hamara kya hai aazaar uska kitna
Tum ne toh chalte phirte murde jila diye hai
Unke nisaar koi kaise hi runj me ho
Jab yaad aa gaye hai sab gum bhula diye hai
Asra me guzre jis dam bere pe qudsiyo ke
Hone lagi salaami parcham jhuka diye hai
Jab aa gai hai Josh e Rehmat pe unki ankhe
Jalte bujha diye hai roote hasa diye hai
Mere Karim se gar qatra kisi ne maanga
Dariya baha diye hai durbe baha diye hai
Allah Re kya jahannam ab bhi na sard hoga
Ro Ro ke Mustafa ne dariya baha diye hai
Mulk e Sukhn ki shahi tumko Raza musallam
Jis samt aa gaye ho sikke bitha diye hai
Hum se fakeer bhi ab pheri ko uthte honge
Ab toh Ghani ke dar par bistar jama diye hai
Aane do ya dubo do ab toh tumhari jaanib
Kashti tum hi pe chori langar utha diye hai
Dulha se itna kehdo pyaare sawari roko
Mushkil me hai baraati purkhar laa diye hai