Aqa ko pukaar bandey, Aqa ko pukaar!
Insha’Allah ho jaey ga tera beyra paar
Kya kehna darbar Nabi ka ,uss ki shaan aali hai.
Hargiz na mehroom woh lauta uss dar ka jo sawaali hai
Aao chalain ham sooey madinah, chowr ke sab ghar bar.
Un ke haath main kul kunji hai Rabb ne unain Mukhtar kiya
Ham ko Un ka mangta banaya aur Un ko Sarkaar kiya
Jo Sarkaar ke dar ka gada hai, woh khud hai mukhtar
Thumma dana fatadallaa ka mansab Sarkaar ko hasil hai
Puhnch na paya koi uss jah, jo sarkaar ki manzil hai
Asraa ki shab uznu minni Maulaa ki thi pukaar.
Aala Hazrat ne ya Rabb yeh dars hamian sikhlaya hai
Jo gustakh-e-khuda ya Nabi hai apna nahi woh paraya hai
Haan aisey gustakhoon par hai Khaliq ki phatkaar
Kiyun ghamgeen hai tu ay sayyed dar par who bulwain gey
Ranj-o-gham sab door karain gey sooey bhaag jagayain gey
Aur bhi koi Unn ke siwa hai dukhiyoon ka gham khawar