Asalaamualaika Ya Mustafa

Hum Ghulamana Aadab Laye Baja
Tum Pe Aarbo Salaam Syed Ul Ambiya
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Tum Pe Sab Kuch Fida Mustafa Mustafa

Jashan Sarkar Ka Ta Qayamath Rahe
Har Baras Ho Izafa Mere Kibriya
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Ye Sab Ki Dua Mustafa Mustafa

Noor Se Jagmagaya Hai Arab-O-Aajam
Rounaqein Lag Rahi Aaye Khairul Wara
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Tera Charcha Huwa Mustafa Mustafa

Teri Qatir Ye Duniya Sajayi Gayi
Tuhi Har Shai Ki Hai Ibteda Inteha
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Mera Imaan Ya Mustafa Mustafa

Ye Abubakr-O-Farooq Osmaan Ali
Hai Nabi Ke Wali Aur Waliye Khuda
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Charo Hain Haq Numa Mustafa Mustafa

Syeda Tere Bete Hussain-O-Hassan
De Utara Hame Apne Hasnain Ka
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Main Gada Aal Ka Mustafa Mustafa

Tere Ruye Munawwar Ki Tabaniyan
Jiske Ruqh Par Pardhi Wo Musalmaan Huwa
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Tuhi Rab Aashna Mustafa Mustafa

Kaise Bathkeinge Hum Deen Rah Se
Mustafa Peshwa Mustafa Rashta
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Rahbar-O-Peshwa Mustafa Mustafa

Nau Ishq-E-Nabi Doob Sakti Nahi
Ba Khuda Aasra Mustafa Na Khuda
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Bas Sahara Mera Mustafa Mustafa

Hai Ujagar Fida Teri Naamus Par
Ek Main Hi Nahi Sab Jahaan Hai Fida
Laka Jismi Fida Laka Ruhi Fida Laka Aaini Fida Assalaamulaik
Hai Mera Faisla Mustafa Mustafa

For more naat lyrics visit: www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri