Chalo diyaare nabi ki jaanib
Durood lab par saja saja kar
Bahaar lootege ge hum karam ki
Dilon ko daaman bana bana kar
Na unke jaisa sakhi hai koi
Na unke jaisa ghani hai koi
Woh benawao ka har jaga se
Nawaazte hai bula bula kar
Mai woh nikamma hu jisski jholi
Me koi Husn e Amal
nahi hai
Magar woh ehsaan kar rahe hai
khataye meri chupa chupa kar
Hai unko ummat se pyaar kitna
Karam hai rahmat sha’aar kitna
Hamaare jurmo ko dho rahe hai
Woh apne aansu baha baha kar
Yahi Asaas e Amal hai meri
Issi se bigri bani hei meri
Samet ta hu karam Khuda ka
Nabi ki naate suna suna kar
Woh raahe ab tak saji huyi hai
Dilo ka kaaba bani huyi hai
Jaha jaha se huzur guzre hai
Naqsh apna jama jama kar
Agar muqaddar ne yaawri ki
Agar Madine gaya me Khaalid
Qadam qadam khaak us gali ki
Mai choom lunga utha utha kar