Sunni musalman

Sunni musalman mai sunni musalman

Har sarwar- e-konain pe kurban meri jaan
Sarkar e madina mere har gam ka sahara

Mai gause ke tukdo hi pe karta hoon guzara
Jau kabhi Baghdad madina yahi armaan

Sunni musalmaan mai sunni musalman
Ye shaan meri hai ki gulam-e-rasool hoon

Allah ke rasool pe padta durood hoon
Padta hoon mai salam yahi hai meri pehchan

Sunni musalmaan mai sunni musalmaan
Haa chumta hoon name mohammud pe angutha

Aur manta hoon taiba ko mai arsh ka jina
Hai ishke Muhammad me salamat mera imaan

Sunni musalman mai sunni musalman
Waliyon ke naam se main dilata hu Fateha

Bachchon ko sunata hu main karbal ka wakhya
Ai najdi mujhe dekhkar kyun hota hai hairan

Sunni musalman main sunni musalman

For more lyrics visit: www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri