Rif'ate Mustafa

Rif'ate Mustafai par arsh ki aql dang hai
Unki har ek ada me kya mehboobiyat ka rang hai

Khushbu-e-Mustafa se hai dono jahan ki nikhaten
Jumbishen lab ki wo ada mushafe khush tarang hai

Milta hai Mustafa ka dar aale rasool ke tufail
Marhera se Madine tak roohani ek surang hai

Aagaz se aakhir tak qur'an hai na'ate Mustafa (s.a.w)
Mehboob ke bayaan ka kaisa anokha dhang hai

Mehboobe kibriya ki zaat wajibe ehteram hai
Tauheen unki jo kare usse hamari jang hai

Nazmi kiye hi jayega milade Mustafa bayaan
Isko kabhi na chodna sunni bada dabang hai

Nazmi ki naar ki taraf le chale jab malaika
Aaqa kahenge chod do ye to mera malang hai

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri