Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko

Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Hamein bheek mangne ko Tera aastaan banaya
Tujhe hamd hai Khudaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Tumhein Haqim banaya Tumhein Qasim Aataya
Tumhein Shafe Aataya Tumhein Da'afe balaya
Koi Tum sa kon aaya?
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Wo kanwaari Pak Maryam wo Naf'ate fiya ka dam
Hai azab Nishaan-e-Aazam magar Aamina ka Jaya
Wohi sab se afzal aaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Yahi bole sidraa wale chaman-e-Jahaan kay thaale
Sabhi mein ne chan daale Teray pae ka naa paya
Tujhe yaq ne Yaq banaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya


"Fa Izaa Faraghta Fansab"(Quraanic Ayat) ye mila hai Tujh ko mansab
Jo gada bana choke ab otho waqte bakhshis Aaya
Karo qismat aataya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

"Wa Ilaa Rabika Farghab",karo arz sab kay matlab
keh Tuhein ko Takte hein sab karo un per Apna saya
Bano Shafeye Khataya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Aare Ay Khuda kay bando koi meray dil ko dhondoo
Meray paas tha abhi to abhi to abhi kya howa Khudaya
Na koi gia na Aaya

Hamein Ay Raza Teray dil ka pata chala ba mushkil
Dar-e-Rozae muqabil wo hamein nazar tou aaya
Ye na pocha kaisa paya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri