Lau Madine ki tajalli se lagaye hue hai
Dil ko hum matlae anwaar banaye hue hai
Kashtiyan apni kinaare se lagaye hue hai
Kya wo doobe jo Muhammad ki tira'e hue hai
Sharme isiyan se nahi saamne jaya jata
Ye bhi kya kam hai tere sheher me aye hue hai
Ik jhalak aaj dikha gumbade khazra ke maki
Kuch bhi hai door se didar ko aye hue hai
Haaziro naaziro nooro bashar gaib ko chod
Shukr kar wo tere aibon ko chupaye hue hai
Naam ate hi Abubakro Umar ka lab par
Tu bigadta hai wo pehlu me sulaye hue hai
Qabr ki neend se uthna koi aasan na tha
Hum to mehshar me unhe dekhne aaye hue hai
Kyon na palda tere aamal ka bhari ho naseeb
Ab to mizaan pe sarkar bhi aaye hue hai
Sar pe rakh dijiye zara daste tasalli aakha
Gum ke maare hai zamane ke sataye hue hai
Teri nisbat hi to hai jiski badaulat hum log
Kufr ke daur me Imaan bachaye hue hai
www.naatlyrics.in