Tum Pe Sao Jaan Se Kurbaan Ya Rasoolallah

Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Fida hai tum pe meri jaan ya rasoolallah
Tumhi  ho deen aur imaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Tumhari naat ke sadqe me sarware aalam
Mili hai mujhko ye pehchan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Meri majal hi kya mai tumhari naat likhu
Tumhari madha hai Qur'an ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Mata e deen bhi duniya bhi hum ko tum se mili
Mila hai tumse hi Rehman ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Liya hai aapne daman me mujh se aasi ko
Bahot bada hai ye ehsaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Kise sunau mai sarkar dastane alam
Tumhi ho dard ke darmaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Tumhare rauza e anwar ki shaan kya kehna
Hai jibraeel bhi darbaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Khuda ki khalq me khulqe azeem tum jaisa
Nahi hai doosra insaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Nahi hai ahsanu minka koi zamane me
Ye keh chuke tere Hassan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Bulao jald Madine me dil tadapta hai
Madina dekh le Rizwan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri