Arsh se aage jaake dikhao
Fir kehna hum jaise the
Noore mujassam ban ke dikhao
Fir kehna hum jaise the
Hazrat e jabir ki dawat me
Jese hazaro sair
huve
Dawat aisi tum bhi khilao
Fir kehna hum jaise the
Chand hua shak suraj palta
Unke ek ishare se
Tum bhi aisa kar ke dikhao
Fir kehna hum jaise the
Summa dana fatadalla unki
Qurb ki manzil ka hai bayaa
Hai gar himmat tum bhi jao
Fir kehna hum jesethe
Khub baha panjabe rahmat
Khub hue seraab sabhi
Pani aisa tum bhi pilao
Fir kehna hum jaise the
Hirni vapas loat ke ayee
Unse wafa ka dars diya
Aisi huqumat tum bhi chalao
Fir kehna hum jaise the
Inna aatayna kal kausar aur
Warafana laka zikrak
Sura e toaba padhte jao
Fir kehna hum jaise the
Shan he ye khuddame nabi
Ki murdo ko bhi zinda kiya
Tum bhi thokar se jilao
Fir kahna hum jaise the
Daste mubarak ki barkat se
Tuti haddo thok hui
Haath zara apna to badhao
Fir kehna hum jaise the
Puchh to rizwan unke adu se
Sano kaha se laoge
Aao zara saya toh dlkkhao
Fir kehna hum jaise the