Anwaare Muhaamad se toh arsh ujala hai
Woh Rehmat e Aalam hai mehboob nirala hai
Har su faza mahaki hai har samt ujala hai
Sarkar ki aamad ka aalam hi nirala
Ehsaan yeh kya kam hai Sarkar e Do Aalam ka
Duniya ko jahaalat ki zulmat se nikala hai
Allah ko pyaari hai ek ek ada unki
Seerat ko Muhammad ki Quran me dala hai
Woh Fakhre Risalat hai woh Shama e Hidayat hai
Un Noor e Mujassam ka ghar me ujala hai
Sarkar e Do Aalam ka Allah re kya kehna
Akhlaakh hasi unka kirdaar bhi aala hai
Kya vasf baya humse sarkar ka ho Qaadir
Us Rehmate Aalam ka ehjaaz nirala hai