Kaaba ke dar ke saamne mangi hai yeh dua fakat
Haatho me Hasr tak rahe Daman e Mustafa fakat
Apne karam se aay Khuda Ishq e Rasool kar ata
Aakhiri dum zaban oe ho SalleAllah sada fakat
Taiba ki sair ko chale kadmo me unki jaan de
Dafan ho unke shahar me hai yahi iltija fakat
Duniya ki saari nehmate meri nazar me hech hai
Rakhne ko sar pe gar mile Naalain e Mustafa fakat
Munkar Nakeer qabr me hum se sawal jab kare
Aise me vird hum rakhe aapke naam ka fakat
Nazaa ke waqt jab meri saanso me inteshaar ho
Meri nazar ke samne Gumbad ho woh hara fakat
Naat e Rasool e Paak hai Nazmi ka maksade hayaat
Qabr me bhi labo pe ho sarkar ki sana fakat