Yeh Naaz yeh andaaz Hamare nahi hote
Jholi me agar tukre tumhare nahin hote
Jab tak Madine se ishare nahi hote
Raushan kabhi kismat ke sitare nahi hote
Be Daam hi bhik Jaaey Bazaar e Nabi me
Is Shaan ke saude me khasare nahi hote
Daamaan e Shafa’at me hame kaun chupata
Sarkaar agar aap hamare nahi hote
Milti na agar bhik huzoor aap ke dar se
Is Thaath se mangto ke guzaare nahi hote
Yeh Nisbat e Sarkaar ka Aijaaz hai warna
Toofaan se namoodaar kinare nahi hote
Khalid yeh tasaduq hai faqat naat ka warna
Mehshar me tere waare niyaare nahi hote