Qasam Yaad Farmai Quran Ne Jinki Naat Lyrics

Qasam yaad farmai Quran ne jinki
Wohi to meri zeest ke Mudda'a hai
Mere dil ki dhadkan me hai naam unka
Wohi to meri rooh ke Muntaha hai

Ufaq se shafaq tak unhi ke hai charche
Zameen se falak tak unhi ki hukumat
Woh Insaan o Jin o Malaik ke Aaqa
Wohi Qaasim e Nehmat e Kibriya hai

Woh Darbaar e Rab ke hai Maqbool e Aazam
Wohi sabz poshon me sab se moazzam
Wohi Mohtaram Mohtasham aur Mukarram
Bus itna samajh lo Habib e Khuda hai

Woh Shaan e Kareemi ke dushman ko
Apne maafi de inaam se bhi nawaaze
Woh Shaan e Raheemi me Mumtaaz sab se
Woh haajat rawao ke haajat rawa hai

Unhi ki rafaqat ka Allah ne ek din
Saari ruho se waada liya tha
Woh Eesa ki jaan aur Tamanna e Moosa
Wohi toh Khaleel e Khuda ki dua hai

Woh Mamdooh e Quran woh Maqsood e Imaan
Woh Imaan e Jaan woh Imaan ka Imaan
Woh Mehshar ke din unki farma Rawai
Woh Mushkil Kushao ke Mushkil Kusha hai

Hame Shah e Barkaat ne yeh sikhaya
Madina sada apne seene me rakhna
Nabi ki Eta'at ho Imaan hamara
Jiye aur mare jaise Sarkaar chahe

Main acche miya ke makaan ka makeen hu
Mai hu Shah e Noori ki Gaddi ka waris
Meri pusht par mere Murshid ka panja
Wohi har qadam par mere rahnuma hai

Mujhe warghalaane jo iblees aaya
Toh maine use itna keh kar bhagaaya
Meri rooh par qabza Sayyed Miya ka
Mere dil ke Mukhtaar Ahmed Raza hai

Yeh Marehra ki woh muqaddas zameen hai
Jaha Qadri Maykada saj gaya hai
Yaha ek saaqi hai Baghdad waale
Toh ek saaqi Sarkaar Khwaja piya hai

Badi door se Nazmi aaya hai dar par
Liye Chashm Namnaak aur Qalb e Muztar
Karam ki nazar Aaqa apne gada par
Bahut ho chuki ab to aahe karahe

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri