Tu Shah e Khuban tu jaan e jaana
Hai chehra Ummul Khitab tera
Na ban saki hai na ban sake ga
Misal teri jawab tera
Tu sab se awwal tu sab se aakhi
Mila hai Husn e Dawam tujko
Hai umar lakho baras ki teri
Magar hai taza shabab tera
Khuda ki ghairat ne dal rakhe
Hai tujh pe sattar hazaar parde
Jahaan me lakho hi tur bante
Jo ek bhi utha hijab tera
Ho Mushq o Ambar ya Boo e Jannat
Nazar me uski hai be haqeeqat
Mila hai jisko mala hai jisne
Pasina rashk e gulaab tera
Mai tere Husn o Bayaan ke sadqe
Mai teri meethi zubaan ke sadqe
Ba Rang e Khushboo dilo pe utra
Hai kitna dilkash khitaab tera
Hai tu bhi saa’im ajeeb insaan
Jo khouf e mehshar se hai harasan
Arre tu jinki hai naat padhta
Wohi to lenge hisaab tera
Hai chehra Ummul Khitab tera
Na ban saki hai na ban sake ga
Misal teri jawab tera
Tu sab se awwal tu sab se aakhi
Mila hai Husn e Dawam tujko
Hai umar lakho baras ki teri
Magar hai taza shabab tera
Khuda ki ghairat ne dal rakhe
Hai tujh pe sattar hazaar parde
Jahaan me lakho hi tur bante
Jo ek bhi utha hijab tera
Ho Mushq o Ambar ya Boo e Jannat
Nazar me uski hai be haqeeqat
Mila hai jisko mala hai jisne
Pasina rashk e gulaab tera
Mai tere Husn o Bayaan ke sadqe
Mai teri meethi zubaan ke sadqe
Ba Rang e Khushboo dilo pe utra
Hai kitna dilkash khitaab tera
Hai tu bhi saa’im ajeeb insaan
Jo khouf e mehshar se hai harasan
Arre tu jinki hai naat padhta
Wohi to lenge hisaab tera