Aye naseeb mere naseeb tu zara sabr rakh zara sabr kar
Woh bulayenge hume ek din joh nasheen hai arsho ke arsh par
Ke woh jaante hai dilo ko bhi aur jaante hai dilo ki bhi
Ke woh dilnasheen hai dilo ke bhi zara aur dil se tu arz kar
Tu Mariz e Ishq e Rasool hai aur Jah e Naseeb yeh marz hai
Woh Tabeeb e Aalam e Marz hai kyu sisak raha hai tu marz par
Joh asar kare arsho ke paar tu suna kuch aisi Kamal e Tarz
Ja sisak tu fir ushi tarz pe ke woh aayenge teri tarz par
Joh bhara hai daaman gunahon se toh kar tauba or yeh aqeeda rakh
Dikha fir nadaamate sajde me woh jeelayenge tujhe hashr par
Yahi Hasrat e Mehboob hai woh bulaye Farsh e Madina aur
Karun aankhe apni me band udhar so jaun fir ushi farsh par