Jaau Ajmer Baghdad aur Karbala Lyrics

Jaau Ajmer Baghdad aur Karbala
Phir main jaau Madina to kya baat hai
Bargaahe Rasoole Khuda mein yunhi
Pahuchu zeena ba zeena toh kya baat hai

Allah Allah gar Ishq e Sarkar me
Ho yeh mera kareena toh kya baat hai
Naqsh e Kaaba bane aankh ki putliya
Aur bane dil Madina toh kya baat hai

Waar dariya pe jab zaalimo ne kiya
Ki Khuda se yeh Abbas ne iltija
Mere baazu kate ya mera sar kate
Peele paani Sakeena toh kya baat hai

Kabhi Makke me jau Madine kabhi
Aur har waqt jaari rahe bas yahi
Aise andaaz se aur isi shaan se
Guzre Hajj ka mahina toh kya baat hai

Owais ke tarha Isq e Nabi me jeeyu
Aur maru to Bilaali ada se maru
Aashiqaan e Shah e Do Jahaa ki tarah
Ho mera marna jeena toh kya baat hai

Jaan dedu payaam Ishq e Sarkar me
Naqsh e Paay e Nabi mera madfan bane
Aake chidke farishte kafan par mere
Mustafa ka paseena toh kya baat hai

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri