Tum pe qurban bulane waale
Bakhte Khufta ko jagane waale
Naar e Dozakh ka nahi khauf mujhe
Woh salamat hai bachane waale
Koi pooche yaa na pooche mujhko
Shah e Taiba hai nibhane waale
Garmi e Hashr se ghabraye kyu
Woh hai daaman me chupane waale
Tere sadqe me meri baat bani
Khote sikke ke chalane waale
Kaif Jannat ka mila dar pe tere
Kyari Jannat ki dikhane waale
Deke lena nahi aadat teri
Mujhko Jannat me bithaane waale
Hai mareezo ki Shifa Naat e Nabi
Woh hai Burdah ke urhaane waale
Sharbat e Deed pila do Aaqa
Jaam e Kausar ke pilane waale
Ilm e Naafi ki mile bheek mujhe
Rab ki Neh’mat le lutane waale
Ho gayi Qabr munawwar meri
Rukh e Anwar ke dikhane waale
Ho gayi phir se mayassar chawkhat
Mujhko qadmon me bithane waale
Ban gaye mere yaha bigde kaam
Tum Ho roto ko hasane waale
Kufr kaafir se chuta Mulk e Hijaaz
Sham’e Tauheed jilaane waale
Phir chalaa hu mai watan ki jaanib
Jald bulwaana bulane waale
Shakir e Razvi pe hai khaas karam
Kehte hai ab toh zamane waale