Aarzooein Kaisi Hai Kaash Yuh Huwa Hota Naat Lyrics

Aarzooein kaisi hai kaash yuh huwa hota

Bu Jehel ke haathon mein kankari banaa hota
Apne Aaqa ke aage Kalima toh padha hota
Ghaib daan Nabi ka ek Moh'jizaa bana hota

Aarzooein kaisi hai kaash yuh huwa hota

Mai bhi Kaabe ki chatt par buth bana khada hota
Aaqa ke ishaare par aundhaa gira hota
Aur unnke Qadmo ka bosa le liya hota
Khaake Paaye Aqdas ka hissa ban gaya hota

Aarzooein kaisi hai kaash yuh huwa hota

Kaash mai Halima ki Bakri hi raha hota
Aaqa mujhko le jaate ban mai charr raha hota
Doodh dohte Aaqa apne Daste Aqdas se
Aaj tak Muqaddar par naaz kar raha hota

Aarzooein kaisi hai kaash yuh huwa hota

Ek chattan ki soorat kaash mai raha hota
Aaqa Paaon rakh dete moum ban gaya hota
Noori Aqs Qadmo ka dil me bhar liya hota
Unnke Jaan nisaaron ke dil me bas gaya hota

Aarzooein kaisi hai kaash yuh huwa hota

Kaash apne aaqa ka Na'ale paak hi hota
Hama waqt qadmon se lipta hi raha hota
Jab kabhi mai phatt jaata apne haath se guth te
Tajdaaro ke sar ka Taaj ban gaya hota

Aarzooein kaisi hai kaash yuh huwa hota

Nazmi tum toh bhole ho aisa kyu huwa hota
Aal e Fatima hona Rab ne jab likha hota
Ahl e Bait me hona Rab ne jab likha hota
Aal e Mustafa hona Rab ne jab likha hota

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri