Aye Shafaye Umam shahe zee jaah le khabar
Lillah le khabar meri lillah le khabar
Dariya ka josh, naav na beda na naakhuda
Main dooba tu kaha hai mere shah le khabar
Manzil kadi hai raat andheri main na balad
Aye khizr le khabar meri aye maah le khabar
Pahuche pahuchne wale to manzil magar shaha
Unki joh thak ke baithe sare raah le khabar
Jungle darindo ka hai main be yaar shab kareeb
Ghere hai chaar samt se bad khwah le khabar
Manzil nayi azeez juda log na shanaas
Toota hai kohe gham mein pare kaah le khabar
Woh sakhtiya sawaal ki woh surate muhibb
Aye ghamzado ke haal se aagaah le khabar
Mujrim ko bargaahe adalat mein laaye hain
Takta hai be kasi mein teri raah le khabar
Ahle amal ko unke amal kaam aayenge
Mera hai kaun tere siwa aah le khabar
Purkhaar raah barhana pa tishna aab door
Maula padi hai aafate jaankaah le khabar
Bahar zabaane pyaas se hain aaftaab garm
Kauthar ke shah kath-tharahu-llah le khabar
Maana ki sakht mujrimo naakaara hai Raza
Teri hi to hai bandaye dargaah le khabar