Sun lo aye peero ke peer Gaus ul Azam dastagir
Badlo meri bhi taqdir Gaus ul Azam Dastagir
Mai hu tumhare dar ka bikhari aye Shah e Baghdad
Wasta tum ko pyare Nabi ka sunn lo meri fariyaad
Tod do gardish ki zanjir Gaus ul Azam dastagir
Dar se tumne apne kisi mangte ko nahi hai taala
Aal e Nabi ka sadka tumne jholli me hai daala
Bade Peer be Nazir Gaus ul Azam dastagir
Gaus piya Gilani tumhari shaan pe mai qurbaan
Mai bhi tumhare dar pe aau dil mai hai armaan
De do khwabo ki taabeer Gaus ul Azam dastagir
Apni mehfil mai aa kar ab jalwe sab ko dikhana
Qaadri saare jhoom rahe hai sab ke bhaag jagana
Aao aye Peera Ne Peer Gaus ul Azam Dastagir
Gaus Piya yeh adna kamal ab apni muradaye paye
Dar pe tumhare hazari de de aur Madine jaye
Kar do kuch aisi tadbir Gaus ul Azam dastagir