Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label B. Show all posts

Ban Ke Noor e Khuda Mustafa Aa Gaye Naat Lyrics

Ban ke Noor e Khuda Mustafa aa gaye
Marhaba marhaba Mustafa aa gaye

Ujdi duniya thi Aaqa ne aabaad ki
Har taraf dhoom unke hi milaad ki

Sab ke mushkil kusha Mustafa aa gaye
Marhaba marhaba Mustafa aa gaye

Ho gaye Noor duniya ke zulmat tale
Jinn ke aane se maa`o ko bete mile

Sarwar e Ambiya Mustafa agaye
Marhaba marhaba Mustafa agaye

Arsh par jashan jinn ka manaya gaya
Sab Rasoolo ko jiss me bulaaya gaya

Haa wohi Dilruba Mustafa aa gaye
Marhaba marhaba Mustafa aa gaye

Ab na maayus hoga sawaali koi
Aaj naasir na laute ga khaali koi

Muskura aye gadha Mustafa aa gaye
Marhaba marhaba Mustafa aa gaye




Bara Rabi ul Awwal Ke Din Naat Lyrics

Bara Rabi ul Awwal ke din
Abre bahara chaye
Mere Sarkar aaye

Amina tere ghar aa kar
Jibreel payam yeh laaye
Mere Sarkar aaye

Door hua duniya se andhera
Aaye aaqa hua sawera
Abdullah ke ghar aangan
Khusiyo ke baadal chaye
Mere Sarkar aaye

Sooki thi gulshan me kaliya
Sooni thi Makke ki galiya
Unke kadam se charo jaanib
Ho gaye noor ke saye

Jo hai sab nabiyo ke Rahbar
Sare masiha khalk ke Rahbar
Jholi bharna kaam hai jinka
Aaj woh data aaye
Mere Sarkar aayye

Mushkil teri tal jayegi
Sooki kheti phal jayegi
Dai Halima tere soye
Bhaag jagane aaye
Mere Sarkar aaye

Mujh ko mila paigam yeh mohsin
Duniya ko batla de mohsin
Jo hai nabi ka chahne wala
Apne ghar ko sajaye
Mere Sarkar Aaye

Bagh Jannat Ke Hai Naat Lyrics

Bagh jannat ke hai
Behr e Madha
Khwaan e Ahl e Bait
Tum ko muzda naar ka
Ayi dushmanane Ahl e Bait

Unke ghar toh be ijazat
Jibrail aate nahi
Qadr waale jante hai
Qadr o shaan e Ahl e Bait

Unki paaki ka Khuda e Pak
Karta hai bayaan
Ayah e tatheer se
Zahir hai Shaan e Ahl e Bait

Ghar lutana jaan dena
Koi tujse seekh jaaye
Jaan e alam ho fida
Aye Khandan e Ahl e Bait

Ahl e Bait e Pak se
Ghustakhiya be bakiya
Lanatullahi Alaikum
Dushmanane Ahl e Bait

Be adab gustakh firqe
Ko suna de aye Hasan
Yu kaha  karte hai aashiq
Dastaan e Ahl e Bait

Baag e Jannat Me Nirali Chaman Naat Lyrics

Baag e Jannat me nirali chaman aarai hai
Kya Madine pe fida hoke bahar aayi hai

Unke desu nahi rehmat ki ghata laayi hai
Unke aabru nahi do Qiblo ki yaqzayi hai

Saarewala unhe rehmat ki ghata laayi hai
Haal bighda hai toh bimaar ki ban aayi hai

Jiske haatho ke banaye huye hai husno jamal
Aye hasin teri adaa usko pasand aayi hai

Tere jalwo me yeh aalam hai ki Chashme Aalam
Taab deedar nahi fir bhi tamashaahi hai

Jab teri yaad me duniya se gaya hai koi
Jaan lene ko dulhan ban ke kaza aayi hai

Dard dil kisko sunao mai tumhare hote
Bekaso ki iisi sarkar me sunwayi hai

Chashme be Khwaab ke sadqe me hai bedaar nasib
Aap jaago toh hume chain ki neend aayi hai

Na ummido tumhe muzda ki khuda rehmat
Unhe mehshar me tumhare hi liye laayi hai

Aye Hasan Husne jaha taab ke sadqe jau
Zarre zarre se aaya Jalwa e Jebayi hai

Bahar e Jaan Fiza Tum Ho Naat Lyrics

Bahar e Jaan fiza tum ho Nasim e Gulsita tum ho
Bahar e Baagh e Rizwan tum se hai zaibe jina tum ho

Khuda ki saltanut ka do jaha me kaun dulha hai
Tumhi tum ho tumhi tum ho yaha tum ho waha tum ho

Haqiqat se tumhari juz  Khuda aur kaun waakif hai
Kahe toh kya kahe koi Chuni tum ho Chuna tum ho

Kuja hum khaak uftada kuja tum aay shahe bala
Agar Misl e Zamin hum hai toh Misl e Asma tum ho

Mai bhula aap ki rif’at se nisbat hi hame kya hai
Woh kehne bhar ki nisbat thi kaha hum hai kaha tum ho

Hame umeed hai Rauz e Qayamat unki rehmat se
Ke farmaye idhar aao Naa maayus az jina tum ho

Sitam karo siyah karo khata karo jafa karo
Hamare Daaman e Rehmat main aa jao kaha tum ho

Tumhare hote saate dard dukh kis se kahu pyare
Shafi e aasiyan tum ho wakeel e mujrima tum ho

Riyazat ke yahi din hai burhape me kaha himmat
Joh kuch karna hai abhi karlo abhi Noori jawan tum ho

Faqat nisbat ka jaise hu haqiqi Noori ho jau
Mujhe jo dekhe kahe uthe miya Noori miya tum ho

Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Naat Lyrics

Baat jo kijiye aur jab kijiye
Saath mein Zikr e Mehboob e Rab kijiye

Chahte ho mile zoq ansu bahe
Lab baaton se band apne lab kijiye

Loh woh minar o gumbad nazar aa gee
Ab Salam arz sub ba adab kijiye

Subz gumkbad ke saaye tale hai khare
Khoob taqdeer par rashk ab kijiye

Woh nawaaze ge khali na lautaenge
Unse hajaat arz apni sub kijiye
Saath me zikr e Mehboob kijiye

Dar pe aakar bhikari phire namurad
Yeh gawara bhala aap kab kijiye

Ru baroo jaaliyo ke khare hai Hazoor
Ab ata bheek Shah e Arab kijiye

Aap ke dar ke hote kidhar jaye hum
Ab ata bheek Shah e Arab kijiye

Dijiye hum ko khairat deedar ki
Aab karam Ya Nabi behr e Rab kijiye

Mar raha hu gunaho ke amraaz se
Ek nazar Janib e Jaan balab kijiye

Qalb e tareek par rakh ke apna qadam
Chaandna mere Mah e Arab kijiye

Sunn ke fariyad imdaad ko aa gaye
Yaad Ubaid e Raza unko jab kijiye

Unke nisar koi kaise bhi ranj mein ho
Jab yaad aagaye hai sab gham bhula diye hai
Yaad Ubaid e Raza un ko jab kijiye

Walah woh sunn lenge fariyad ko pohnchenge
Itna bhi to ho koi jo aah kare dil se
Yaad Ubaid e Raza unko jab kijiye

Baat jo kijiye Aur jab kijiye
Saath me Zikr e Mehboob e Rab kijiye

Bahar-e Jaan(n) Fiza Tum Ho Naat Lyrics

Bahar-e jaan(n) fiza tum ho, nasim-e gulsita(n) tum ho 
Bahar-e bagh-e rizwan tum se hai, zaibe jinan tum ho

Khuda ki sultanat ka do-jahan main kaun dulha hai, 
Tumhee, tum ho, tumhee, tum ho, yahan tum ho, wahan tum ho
 
Haqeeqat se tumhari juz khuda aur kaun waqif hai, 
Kahe tu kya kahe koyee, chuneen tum ho, chunaan tum ho

Nazar ‘arif ka har ‘alam main aya aap ka ‘alam, 
Na hote tum tu kya hota, bahar har jahan tum ho
 
Kuju hum khaak uftadah, kuja tum ae shah-e bala, 
Agar misl-e zamin hum hain, tu misl-e asman tum ho

Main bhula aap kī rif’at se nisbat hee hamein kya hai, 
Woh kehne bhar kee nisbat thee, kahan hum hain, kahan tum ho
 
Hamein umeed hai rauz-e qiyamat unkee rehmat se, 
Ke farmayein idhar a’ao na-mayus az-jinan tum ho

Sitam karo, khata karo, siyah karo, jafa karo, 
Hamare daman-e rehmat main aa jaoo kahna tum ho
 
Tumhare hote saate dard dukh kis se kahoon pyare, 
Shafī’e asiyan tum ho, waqīl-e mujriman tum ho

Riyazat ke yahee din hain burhape main kahan himmat, 
Jo kuch karna hai abhi karlo, abhi noori jawan tum ho

Faqat nisbat ka jaise hoon haqiqi noori ho jau, 
Mujhe jo dekhe keh uthe miyan noori, miyan tum ho

Bulalo phir mujhay

Bulalo phir mujhay ai shahe bahrobar, Madinay main
Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main

Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey
Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main

Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman'illah
Kadi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main

Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey
Sukoon aey'ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main

Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar
Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main

Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara
Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main

Madina is liye Tahir jaan-o-diil sey hai pyaara
Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main

www.naatlyrics.in

Baarwein Ka Chaand Aaya

Bacha Bacha Muskuraya Baarwein Ka Chaand Aaya
Khushiyun Ka Tufaan Laya Baarwein Ka Chaand Aaya

Shaadmani Ke Taranay Goonjtay Hain Deher Mein
Wajd Mein Har Shakhs Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Roshni Hee Roshni Hai Chandni Hee Chandni
Zarra Zarra Jagmagaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Ho Gaye Hain Bund Saaray Zulmaton Ke Baab Aaj
Deher Mein Woh Noor Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Khil Uthein Kaliyan Muhabbat Ki Gulon Par Hai Nikhaar
Baagh-e-Ulfat Lehlahaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Saaz-e-Jaan Per Baj Raha Hai Aik Naghma Baar Baar
Aamina Ka Laal Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

Shukar Karte Hee Raho Rub Ka Ujaagar Subho Shaam
Rub Ka Kaisa Fazal Paaya Baarwein Ka Chaand Aaya

www.naatlyrics.in

Bekhud kiye dete hain

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana

Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Kyu aankh milayi thi, kyoon aag lagayi thee
Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana.

Zahid meri kismat mein sajday hain usi dar kay
Chuta hai na chuthay ga sange dar e janana.

Kiya lutf ho mehshar mein main shikway kiye jaoon
Woh haskay kahay jayein deewana hai dewana.

Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka
Sheshay pay gira sheesha pemanay paymana.

Maloom nahin baydam mein kon houn aur kiya hoon
Youn apnoon main apna houn baiganoon mein baygana.

www.naatlyrics.in




Bigdi Bhi Banain Ge

Bigdi Bhi Banain Ge 
Jalwy Bhe Dekhain ge 

Ghabrao Na Deewano Sarkar Bulain Ge
Hum Masjid-e-Nabvi key Dekhy Ge Minaroon Ko 
Aur Gumbad-e-Khazran key Purnoor Nazaroon Ko 
Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aay ge 

Mil Jay Ge Tabirein Eik Rooz To 
khawaboo Ki Gir Jay Gi Dewarein Sab 
Dekhna Rahoo Ki Hum Roza-e-Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Ge 

Dil Ishq-e-Nabi mey Tum Kuch Aur Tarapny Doo 
Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bharkny Doo 
Hum Tishna Dili Chal Kar Zam-Zam Sey Bojhay Ge 

Jab Hashar Key Medan Mey Eik Hashar Bayan Ho Ga 
Jab Fesla Ummat Ka Karny Ko Khuda Ho Ga 
Ummat Ko Shahe Bataha Kamli Mey Chupain ge 

Lillah Mohammad Sey Rodad Meri kehna
Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana 
Ishrat Ko Dare Aqdas Kab aap Bolain Ge

www.naatlyrics.in




Bhar Do Jholi Lyrics

Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Lautkar mai na jaaunga khaali

Tumhaare aastane se zamaana kya nahi paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahi jaata

Tum zamaane ke mukhtaar ho Ya Nabi
Bekaso ke madadgaar ho Ya Nabi

Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebo ke gham khwaar ho Ya Nabi

Hum hai Ranj o Musibat ke maare huwe
Saqt mushkil me hai gum se haare huwe

Ya Nabi kuch Khudaara hame bheek do
Dar pe aaye hai jholi pasare huwe

Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaye hum
Haalat e Bekasi kisko dikhlaaye hum

Hum tumhare bhikaari hai Ya Mustafa
Kiske aage bhalaa haath failaye hum

Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Lautkar mai na jaaunga khaali

Kuch nawaso ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hu bankar sawaali

Haq se paayi woh Shaan e Kareemi
Marhaba dono aalam ke waali

Uski qismat ka chamka sitaara
Jis pe Nazr e Karam tum ne daali

Zindagi baksh di bandagi ko
Aabroo Deen e Haq ki bachaali

Woh Muhammad ka pyaara nawasa
Jisne sajde me gardan kataali

Jo Ibne Murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani e Hussain ka anjaam khoob hai

Khurbaan ho ke Fatima Zehra ke chain ne
Deen e Khuda ki shaan badhaayi Hussain ne

Bakhshi hai jisne Mazhab e Islam ko hayaat
Kitni azeem Hazrat e Shabbir ki hai zaat

Maidan e Karbala me Shah e Khush khisaal ne
Sajde mei sar kata ke Mohammad ke laal ne

Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo Deen e Haq ki bachali

Woh Muhammad ka pyaara nawaasa
Jisne sajde me gardan kataali

Hashr me unko dekhenge jis dam
Ummati yeh kahenge khushi se

Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali

Mehshar ke roz Pesh e Khuda honge jis ghadi
Hogi gunahgaaro me kis darjaa bekali

Aate huwe Nabi ko jo dekhenge ummati
Ek dusre se sab yeh kahenge khushi khushi

Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali

Sar e Mehshar gunahgaro se purshish jis ghadi hogi
Yaqinan har bashar ko apni bakshish ki padi hogi

Sabhi ko aas us din kamli waale se lagi hogi
Ke aise me Mohammad ki sawaari aa rahi hogi

Pukarega zamaana us ghadi dukh dard ke maaron
Na ghabraao gunahgaro na ghabraao gunahgaro

Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali

Aashiq e Mustafa ki azaan me Allah Allah kitna asar tha
Sachaa yeh waaqiya hai Azaan e Bilaal ka

Ek din Rasool e Paak se logo ne yuh kaha
Ya Mustafa Azaan ghalat dete hai Bilaal

Kahiye huzoor aapka is me hai kya khayaal
Farmaaya Mustafa ne yeh sach hai toh dekhiye

Waqt e Sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne joh Azaan e Sahar na di

Khudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar huwi
Aaye Nabi ke paas kuch As’haab e Baasabaa

Kiya arz Mustafa se aye Shah e Ambiya
Hai kya sabab sahar na huwi aaj Mustafa

Jibreel laaye aise me Paighaam e Kibriya
Pehle toh Mustafa ko adab se kiya salaam

Baad as salaam unko Khuda ka diya payaam
Yuh Jibraeel ne kaha Khair ul Anaam se

Allah ko hai pyaar tumhaare ghulaam se
Farma raha hai aap se yeh Rab e Zuljalaal

Hogi na subha denge na jab tak azaan Bilaal
Aashiq e Mustafa ki azaan me Allah Allah kitna asar tha

Arsh waale bhi sunte the jisko
Kya azaan thi Azaan e Bilaali

Kaash purnam dayaare nabi me
Jeete ji ho bulawa kisi din

Haal e Gum Mustafa ko sunau
Thaam kar unke rauze ki jaali

Baghdad Wale Dulha Lyrics

Baghdad wale dulha roshan zameer 
Mere Peeran e Peer mere Peeran e Peer

Khuda ke fazl se hum par he saaya Gauth e Aazam ka
Hame dono jahan me hai sahara Gauth e Aazam ka

Mureedi la takhaf keh kar tassali de gulamo ko
Qayamat tak rahe be khauf banda Gauth e Aazam ka

Azeezo kar chuko tayyar jab mere janaze ko 
Toh likh dena kafan par Naam e Wala Gauth e Aazam ka 

Farishte rokte kyu ho mujhe jannat me jaane se
Yeh dekho haath me daaman hai kiska Gauth e Aazam ka

Farishte madrasa se tak saath paucha ne ko jaate the
Yeh Darbar e Ilahi me yeh rutba Gauth e Aazam ka

Gaye ek waqt me sattar mureedo ke yaha aaqa
Samaj me aa nahi sakhta mu’ama Gauth e Aazam ka

Kuch gum hi nahi Aastane paak ke kutte 
Zamana pal raha hai kha ke tukhra Gauth e Aazam ka

Agar che murg sab ke bol kar khamosh hote hai 
Magar haa murg bole ga hamesha Gauth e Aazam ka

Jameel e Qadri sojan se qurban apne murshid par 
Banaya jis ne hum jaiso ko banda Gauth e Aazam ka


Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri