Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label G. Show all posts

Ghulam Hai Ghulam Hai Rasool Ke Ghulam Hai Naat Lyrics

Ghulam hai ghulam hai Rasool ke ghulam hai
Ghulami e Rasool me maut bhi qubool hai
Joh ho na ishq e Mustafa toh zindagi fazool hai
Ghulam hai ghulam hai Rasool ke ghulam hai

Padhe durood aap par mili zuban isiliye
Fidaa ho uske deen par hai tan me jaan isiliye
Joh uske waste nahi woh zindagi fazool hai
Ghulami e Rasool me maut bhi qubool hai
Ghulam hai ghulam hai Rasool ke ghulam hai

Karam khaas aapka mili hai unki rehmate
Hai uske paak naam se hamari saari nisbatein
Hum uski ummat aakhri woh aakhri Rasool hai
Ghulami e Rasool me maut bhi qubool hai
Ghulam hai ghulam hai Rasool ke ghulam hai

Chal uske sheher ki taraf yeh dil agar udaas hai
Bahist uske Roaze hi ki jhaaliyo ke paas hai
Khuda ki khaas rehmato ka us jagah nuzool hai
Ghulami e Rasool me maut bhi qubool hai
Ghulam hai ghulam hai Rasool ke ghulam hai


Give Me Madina Naat Lyrics

Ashk e gam din raat peena
Is tamanah me hi jeena
Sweet Madina lovely Madina
Oh my Aaqa give me Madina

Hu shafa`at ka mai taalib
Mohor bakshish ki laga do
Ab Madine me bulakar
Dil ki taariki mita do
Ho munawwar mera seena
Oh my Aaqa give me Madina
Sweet Madina lovely Madina

Jisko Mehboob e Khuda se
Sidk dil se pyaar hai
Us pe maula ka karam hai
Us ka beda paar hai
Kaise doobe ga safina
Oh my Aaqa give me Madina
Sweet Madina lovely Madina

Mah e Ramzan ki fazeelat
Tu Madine jaake dekh
Ek anokha hi maza hai
Us mahine jaake dekh
Aakhiri ashra shabina
Oh my Aaqa give me Madina
Sweet Madina lovely Madina

Koi nekhi paas mere
Na amal hai Mustafa
Noorie chaadar me chupa lo
Shafa e Roaze jaza
Aap ka dar rab ka zeena
Oh my Aaqa give me Madina
Sweet Madina lovely Madina

Dar tumhara paak kar de
Mera yeh paapi wujood
Ho karam ke aake padh lu
Roobaru tumpar durood
Rehmatalil Aalamina
Oh my Aaqa give me Madina
Sweet Madina lovely Madina

Gar gunaho par hai naadim
Haat ko apne utha
De mohammad ka wasila
Baksh dega rab khata
Poch maate ka pasina
Oh my Aaqa give me Madina
Sweet Madina lovely Madina

Har Gulam e Mustafa ka
Aarzoo karna bajah hai
Yaa khuda Aabid ki tujhse
Sar jhuka kar iltija hai
Dekh le har chashme beena
Oh my Aaqa give me Madina
Sweet Madina lovely Madina

Ghata Zulmat Ki Chaai Hai Yaa RasoolAllah Naat Lyrics

Ghata zulmat ki chaai hai Yaa RasoolAllah
Meri hasti ko tabinda bana do Yaa RasoolAllah

Padi hai kashti ummat bhavar me tej tufa hai
Kinaare se jara is ko laga do Yaa RasoolAllah

Tadapta hu mai muddat se tumhari deed ko Aaqa
Mujhe didaar ka sharbat pila do Yaa RasoolAllah

Zamana dar pe aazaar hai jau kaha Aaqa
Gamo aalam ke baadal hata do Yaa RasoolAllah

Tumhi ho Sarwar e Allam tumhi ho Rehmat e Aalam
Meri Khwaabida kismat ko jaga do Yaa RasoolAllah

Tumhare sange dar Maqsood e Aalam hai Shah e Batha
Isi dar par hame thodi jagah do Yaa RasoolAllah

Gause Azam Ka Darbar Lyrics

Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna
Baghdadi noorie baazar
Allah allah kya kehna

Tum ho hamare
Hum hai tumhare
Tum ho nabi ke pyaare
Har mushkil me gause azam
Tuhte dilo ke sahare
Ujhdo ko kar de gulzaar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Qutb auliya gaus qalandar
Ek se ek hai badhkar
Saare auliya denge salaami
Jayenge gaus ke dar par
Wo hai waliyo ke sardar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Chor ko palme wali banaya
Nazar se bighdi banayi
Dubi kashti bara baras ki
Palme paar lagayi
Budhiya kehti thi har bar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Aise gaus ka hai yeh hafiz
Chuute na haath de daman
Bighde kaam banaye aaqa
Qurban unpe tanman
Wo karte hai beda par
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Baghdadi noorie bazaar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Gunahon Ki Aadat Chura Mere Maula Naat Lyrics

Gunahon ki aadat chura mere maula
Mujhe naik insan bana mere maula

Joh tujhko joh tere Nabi ko pasand hai
Mujhe aisa banda bana mere maula
Mujhe naik insaan bana mere maula

Tu masjood mera mai sajid hu tera
Tu maalik mai banda tera mere maula
Mujhe naik insan bana mere maula

Tu lega agar adl se kaam apne
Mai hu mustahiq naar ka mere maula
Mujhe naik insan bana mere maula

Joh rehmat teri Shaamil e Haal ho toh
Maula Maula Maula Maula
Thikana hai jannat mera mere maula

Tujhe to khabar hai mai kitna bura hu
Tu aibo ko mere chupa mere maula
Mujhe naik insaan bana mere maula

Meri ta qayamat joh nasle ho Ya Rab
Ho sab Aashiq e Mustafa mere maula
Mujhe naik insaan bana mere maula

Na mohtaj kar tu jahan me kisi ka
Mujhe muflisi se bacha mere maula
Mujhe naik insan bana mere maula

Hai Kaabe pe nazre Ubaid e Raza ki
Ho maqbool har ek dua mere maula
Mujhe naik insaan bana mere maula


Give Thanks To Allah Naat Lyrics

Give thanks to Allah for the moon and the stars
Praise him all day for what is and what was
Take hold of your imaan dont give it to shaitan
Oh you who believe please give thanks to Allah

Allahu Ghafur Allahu Rahim Allahu yuhibul Mohsinin
Huwa Khalikuna Huwa Razikuna Wa Hua Ala Kulli Shaiin Qadir

Allah is Ghafur Allah is Rahim
Allah is the one who loves the Muhsinin
He is a Creator, He is a Sustainer
And He is the one who has power over all


Give thanks to Allah for the moon and the stars
Praise him all day for what is and what was
Take hold of your imaan dont give it to shaitan
Oh you who believe please give thanks to Allah


Gunaahon ki aadat chura mere mola

Gunaahon ki aadat chura mere mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
Jo tujhko, jo teray Nabi ko pasand hai,
Mujhay aisa banda bana mere mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
Tu masjood mera, mein sajid hoon tera,
Tu malik mein banda tera mere mola,
Mujhay neik insan bana meray mula.
Tu lay ga agar adl se kaam apne,
Mein hoon mustahiq naar ka mere mola.
Jo rehmat teri shaamil-e-haal ho to,



Molaaaaa, Molaaa, Molaaa, Molaaa,
Thikana hai jannat mera mere mola (Ameen).
Tujhe to khabar hai mein kitna bura hoon,
Tu aibun ko mere chupa meray mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
Meri ta-qiamat jo naslein hoin Ya Rab (SWT),
Hon sab Ashiq-e-Mustafa (SAW) meray mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
Na muhtaj kar tu, jahan mein kisi ka,
Mujhe muflisi say bacha mere mola.
Hain kaabay pe nazrein Ubaid-e-Raza ki,
Ho maqbool har ek dua mere mola.
Mujhe naik insaan bana mere mola.




Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri