Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label Z. Show all posts

Zamee Pey Utray Jo Anwaar By Milad Raza Qadri Naat Lyrics

Zameen pe utre joh anwaar lamakaan waale
Urran bhool gaye apni asmaan waale

Joh chahe keh le qayasaat hai ghalat sab ke
Kamaan se hi nahi nikle do kamaan waale

Maqaam laakh hu Taskeen e Qalb o Jaan ke liye
Nazaare aur hai Taiba ke gulsitaan waale

Zameen waalo ko kiya chal sake pata unka
Na pohoche gard ko jin ki hai asmaan waale

Madina aakhri manzil hai haq shanaso ki
Yaha Teherte hai sadiyo se karwan waale

Zarre Jhar Kar Teri Paizaro Ke Naat Lyrics

Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Hum se chooro pe jo farmaye karam
Khala`at e Zarr bane pushtaaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Mere aaqa ka wo dar hai jis par
Maathe ghiss jaate hai sardaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Mere Esa tere sadke jau
Toor Be Toor hai bimaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Mujrimo Chashm e Tabassum rakho
Phool ban jaate hai angaaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Jaan O Dil tere qadam par waare
Kya naseebe hai tere yaaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Sidq O Adl O Karam O Himmat me
Char su shohre hai inn chaaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Behr e Tasleem e Ali maidan me
Sar jhuke rehte hai talwaaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Kaise Aaqao ka banda hu Raza
Bol Baale meri sarkaro ke
Zarre Jhar kar teri paizaro ke
Taaj e Sar bante hai saiyaro ke

Zindagi Yeh Nahi Hai Kisi Ke Liye Naat Lyrics

Zindagi yeh nahi hai kisi ke liye
Zindagi hai Nabi ki Nabi ke liye

Nasamajh marte hai zindagi ke liye
Jeena marna hai sab kuch Nabi ke liye

Chandni chaar din hai sabhi ke liye
Hai sada chaand Abdun Nabi ke liye

Anta Feehim ke daaman me munkir bhi hai
Hum raha Ishrat e Daaimi ke liye

Aayshh kar lo yaha munkiro chaar din
Mar ke tarso ge iss zindagi ke liye

Daag e Ishq e Nabi le chalo qabr me
Hai Charaag e Lahad roshni ke liye

Naqshe Paa e Sagaan e Nabi dekhiye
Ye pata hai bohat Rahbari ke liye

Maslak e Ala Hazrat Salamat raha
Ek pehchan Deen e Nabi ke liye

Maslak e Ala Hazrat pe Qaaim raho
Zindagi di gayi hai Isi ke liye

Sulh e Kulli Nabi ka nahi sunniyo
Sunni muslim hai saccha Nabi ke liye

Wo bulaate hai koi yeh aawaz de
Dam me jaa pahuchu mai haaziri ke liye

Aey Naseem e Saba un se keh de shaha
Muztarib hai Gadha Haaziri ke liye

Jin ke dil mein hai Ishq e Nabi ki chamak
Wo taraste nahi chandni ke liye

Jin ke dil me hai jalwe tere Ishq ke
Wo hai Najm e Zamaan roshni ke liye

Akhtar e Qadiri khuld mein chal diya
Khuld waha hai har ek Qaadiri ke liye

Zikre Aaqa Se Sina Saja Hai Naat Lyrics

Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Wo bhi dil koi dil hai
Jaha me jisme taswire taiba nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Lamaka tak hai teri rasai
Geet  gaati hai sari khudai 
Wo jagah hi nahi hai do jaha me
Jis jagah tera charca nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Hum hussaini hai karbal ke shaida
Dil kabhi bhi na hota hai maila
Kufr ki dhamkiyo se dare jo 
Aashiko ka kaleja nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Dushmane Mustafa se yeh kai do
Khair chahe to hum se na uljhe
Hum gulamane Ahmed Raza hai 
Koi bhu hum se jita nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Khaak e paye nabi muh pe malna
Itr ho Mstafa ka pasina 
Unki chaadar ka tukda kafan ho
Aur koi tamanah nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Hajj ki daulat jise milna paye
Jaye jaye wo ghar apne jaye
Maa ke kadmo ko chumle jo
Sange aswad ko chuma nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Aay meri maut rukh ja abhi tu
Fir chalenge jaha tu kahe gi 
Apni aankhen tasawur me taiba
Mai ne ji bhar ke dekha nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Zarey Zarey Pey Chaya Huwa Noor Hai Naat Lyrics

Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai
Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Noor se sab fiza iss ki ma’amoor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Noor phoolo mai hai Noor galiyo mai hai
Noor bazaar mai Noor Galiyon mai hai
Dast o kausaar par Noor hi Noor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Har taraf rehmato ki hai cha’i gatah
Mehki mehki hai kya hoob madni fiza
Zarey zarey pey qurbaan yaha tor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Kya byaa dashtey tayba ki ho hoobiya
phool to phool, kaantey bi dilkash yaha
pathey pathey pey chaya huwa Noor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Kaif o masti mai doobey huwey raat o din
bheeni husboo say mehkey huwey raat din
jis ko dekho yaha aa kai masroor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Baagey thayba mai rehti hai har dam bahaar
aa kai dekho yaha ka samaa hush’guaar
sab fiza is ki hushboo sai bar’poor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Gam’zado jo bi darbaar may aa gya
Shah ki who nigaa’e karam paa gya
Saarah ranj o a’lim is ka kafoor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Yai Madineh hi ko to fazeelat mili
Kai issi mai bana hai mizzar e Nabi
Gunbade sabz har aankh ka Noor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Sabz gumbad kai jalwoh pey qurbaan jaa
balkey qurbaan hai husn e kon o makaa
har minaar e pey chaya huwa Noor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Haak e thayba mai rakhi hai Rab nai shifa
Saari bimaariyo ki hai is mai shifa
Is ki barkat sai har ik marz door hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Aas nujh ko tumhaarai karm ki Shah
Beek day doh mujhe apne gham ki Shah
Keh do Aka teri arz mazoor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

Pir Madineh ka rangeen gulzaar hai
Aur muqadar sai Attar e bar kaar hai
Is ka naama gunaaho sai bar’poor hai
Merey meetey Madine ki kya baat hai

www.naatlyrics.in

Zehe Izzat-o itlaaye Muhammad

Zehe Izzat-o itlaaye Muhammad
Ke he Arsh-e-Haqq zer-e-paaye Muhammad

Makaan Arsh unka falak farsh inka
Malak khaadmaan-e-saraaye Muhammad

Khuda ki Raza chaahata hain do Aalam
Khuda chaahata he Razaaye Muhammad

Ajab kya agar raham farmaaye hum par
Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad

Muhammad baraaye Janaab-e-Ilaahi
Janaab-e-Ilaahi Baraaye Muhammad

Dam-e-nazaa’ jaari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad

Mein qurbaan kya pyaari pyaari he nisbat!
Yeh aan Khuda woh Khudaaye Muhammad

Khuda unko kis pyaar se dekhta he
Joh aankhein hein mah-we-liqaaye Muhammad

Ijaabat ka sehra Inaayat ka jawra
Dulhan ban ke niklee Duaaye Muhammad

Raza pul se ab Wajd karte guzrehes
Ke he Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad

www.naatlyrics.in

Zulm duniya se mitane aaye

Zulm duniya se mitane aaye
Raah seedee ko chalaane aaye

Wahdate haqq ke hai daaye aaqa
Rab se sab ko milaane aaye
Zulm duniya se mitane
Raah seedee ko chalaane aaye
Nehr se saara jahaan ka taari
Ilm ki shamma chalaane aaye

Bekhaso ki bhi hai sunnte faryaa
Bekhasee ko bhi mitane aaye
 Zulm duniya se mitane
Raah seedee ko chalaane aaye
Subha saadiq teri saama’ pe nisaa
Tujh mein rehmat ke kazane aaye

Un ke aane ka kasaa tum maangho
Rab se rehmat ko dilaane aaye

Aaj kaaba bhi kushi se jhuma
Munqado ko to mitane aaye
Zulm duniya se mitane
Raah seedee ko chalaane aaye
Eid e milaad manawo dil se
Dil e veera ko basaane aaye

Waah kya tujh pe karam hai Shakir
Hashr me tujh ko bachaane aaye

www.naatlyrics.in

Zikre Khairul wara

Zikr e khairulwara bey khatar kijiye
Haan yahi kaam shaam o sahar kijiye

Chahtay ho jo barsay karam ki ghattaa
Aap kay ghar bhi a-ayn habib e khuda
Naat say roshni apne ghar kijiye

Gham mile ya ke hasil ho koi khushi
Lab pay jaai rahe ya nabi ya nabi
Is tarah zindgani basar kijiye

Har taraf se ghulamo ki he ye sada
Almadad mustafa almadad mustafa
Sadqa hasnain ka ik nazar kijiye

Zindagi me hazaron safar kar liye
Dil nay chaha na chaha magar kar liye
Ab dar e mustafa ka safar kijiye

Chahte ho jo barse karam ki gahattaa
Lab pay jari rahay mustafa mustafa
Iss tarah zindgani basar kijiye

Lakhon tufaan heyn laykin kinara nahiin
Or naasir ka koii sahara nahiin
Ik nazar ik nazar ik nazar kijiye

For more lyrics visit: www.naatlyrics.in

Zameen Maili Nahi Hoti

Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad (SAW) kay gulamon ka kafan maila nahi hota.
Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.
Muhammed (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi (SAW) ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Jo Naam-e-Mustafa (SAW) chumein, nahi dukhti kabhi ankhein



Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.
Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota
Nabi (SAW) ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota
Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

www.naatlyrics.in

Zamino Zamaa Tumhare Liye Naat Lyrics

Zamino Zamaan tumhare liye
Makino Makan tumhare liye
Chunino Chuna tumhare liye
Bane do jahan tumhare liye

Dahan me zuban tumhare liye
Badan me hai Jaan tumhare liye
Hum aye yaha tumhare liye
Uthe bhi waha tumhare liye

Jina me chaman chaman me saman
Saman me phaban phaban me dulhan
Sazaa’e Mahan par aise minan
Ye amno amaa tumhare liye

Ishare se chand ko cheer diya
Chupe huye khur ko pher diya
Gaye huwe din ko asr kiya
Yeh Taab o Tawa tumhare liye

Tumhari chamak tumhari damak
Tumhari jhalak tumhari mahak
Zamino falak samako samak
Me sikka nishan tumhare liye

Na Rooh e Ami na Arsh e Maki
Na Laoh e Mubin koi bi kahi
Khabar hi nahin jo Ramz khule
Azal ki niha tumhare liye

Yeh Shams o Qamar yeh Sham o Sahar
Yeh Barg o Shajar yeh Bagh o Samar
Yeh Tegh o Sipar yeh Taaj o Qamar
Yeh Hukm e Rawan tumhare liye

Saba woh chale ke baagh phale
Woh phool khile ke din ho bhale
Liwa ke tale sana me khule
Raza ki zaban tumhare liye

Zameeno Zamaan Tumhare Liye Naat Lyrics

Zamino Zamaan tumhare liye
Makino Makan tumhare liye
Chunino Chuna tumhare liye
Bane do jahan tumhare liye

Dahan me zuban tumhare liye
Badan me hai Jaan tumhare liye
Hum aye yaha tumhare liye
Uthe bhi waha tumhare liye

Jina me chaman chaman me saman
Saman me phaban phaban me dulhan
Sazaa’e Mahan par aise minan
Ye amno amaa tumhare liye

Ishare se chand ko cheer diya
Chupe huye khur ko pher diya
Gaye huwe din ko asr kiya
Yeh Taab o Tawa tumhare liye

Tumhari chamak tumhari damak
Tumhari jhalak tumhari mahak
Zamino falak samako samak
Me sikka nishan tumhare liye

Na Rooh e Ami na Arsh e Maki
Na Laoh e Mubin koi bi kahi
Khabar hi nahin jo Ramz khule
Azal ki niha tumhare liye

Yeh Shams o Qamar yeh Sham o Sahar
Yeh Barg o Shajar yeh Bagh o Samar
Yeh Tegh o Sipar yeh Taaj o Qamar
Yeh Hukm e Rawan tumhare liye

Saba woh chale ke baagh phale
Woh phool khile ke din ho bhale
Liwa ke tale sana me khule
Raza ki zaban tumhare liye


Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri