Jab Gumbad e Khazra pe
Woh pehli nazar gayi
Aankho ke raaste mere
Dil me utar gayi
Sar kham tha lab khamosh the
Aankhe thi ashkbaar
Ik Sa’at e Bedaar thi
Jo ke guzar gayi
Barsi thi is qadar ke
Naha sa gaya udhar
Woh Barish e Karam mere
Daman ko bhar gayi
Jo keh sakana lab se
Mili woh murad bhi
Mere sukut par bhi
Shaha ki nazar gayi
Mar kar bhi na marunga
Mai Allah ki qasam
Yeh jaan unke zikr
Me meri agar gayi
Dil bhi hai shad shad
Tabiyat hai pur bahar
Lagta hai aaj meri
Madine khabar gayi
Taiba se lautna kisi
Aashiq se puchiye
Aisa lage ke ruh
Badan se guzar gayi
Awaz Ubaid teri
Ba faizan e Naat hi
Seeno me Aashiqan e Nabi
Ke utar gayi
Woh pehli nazar gayi
Aankho ke raaste mere
Dil me utar gayi
Sar kham tha lab khamosh the
Aankhe thi ashkbaar
Ik Sa’at e Bedaar thi
Jo ke guzar gayi
Barsi thi is qadar ke
Naha sa gaya udhar
Woh Barish e Karam mere
Daman ko bhar gayi
Jo keh sakana lab se
Mili woh murad bhi
Mere sukut par bhi
Shaha ki nazar gayi
Mar kar bhi na marunga
Mai Allah ki qasam
Yeh jaan unke zikr
Me meri agar gayi
Dil bhi hai shad shad
Tabiyat hai pur bahar
Lagta hai aaj meri
Madine khabar gayi
Taiba se lautna kisi
Aashiq se puchiye
Aisa lage ke ruh
Badan se guzar gayi
Awaz Ubaid teri
Ba faizan e Naat hi
Seeno me Aashiqan e Nabi
Ke utar gayi