Alfaaz nahi milte sarkar ko kya kahiye
Jibril salaami de darbar ko kya kahiye
Aklaakh e Muhammad ki kya shaan nirali hai
Dushmanbhi pade kalima kirdaar ko kya kahiye
Aay Tuur tujhe shayad yeh baat na bhuli ho
Israar ko kya kahiye inkaar ko kya kahiye
Bas ek palak jhapki Mehraj huyi puri
Us sahabe rif’at ki raftaar ko kya kahiye
Woh gaar ke jisne ek taarik banayi hai
Us gaar ko kya kahiye us yaar ko kya kahiye
Ek ek Sahabi par Firdous aaza hai
Siddiq o Umar Usman karar ko kya kahiye
Nazmi teri naate ka andaaz nirala hai
Majmoon anokhe hai ashaar ko kya kahiye