Tumhari hi chaukhat mera ek sahara
Tumhare hi tukdo me mera guzara
Bhawar me phasi hai yeh ummat ki kashti
Ata kardo isko Khudara kinara
Mitey dam zadan me mere saare isiya
Agar aap ek baar kardo ishara
Mujhe haath uthane se pehle mila hai
Tumhi ne Shaha haal mera sawara
Mujhe kaash aaye Mehshar woh lamha
Karu mai Shah e Ambiya ka nazara
Guzaru umr Khidmat e Deen me Ya Rab
Karu Jaan o Dil deen ki khatir nisaara
Mile gar Madine me do gaz zameen toh
Mai kar baithu saare jahan se kinara
Dam e Waapsi jab Madine me pohochu
Na lautu mai Soo e Watan phir doobara
Mere Mustafa ab karam ki nazar ho
Khada Hai yeh chaukhat pe Shakir tumhara
Tumhare hi tukdo me mera guzara
Bhawar me phasi hai yeh ummat ki kashti
Ata kardo isko Khudara kinara
Mitey dam zadan me mere saare isiya
Agar aap ek baar kardo ishara
Mujhe haath uthane se pehle mila hai
Tumhi ne Shaha haal mera sawara
Mujhe kaash aaye Mehshar woh lamha
Karu mai Shah e Ambiya ka nazara
Guzaru umr Khidmat e Deen me Ya Rab
Karu Jaan o Dil deen ki khatir nisaara
Mile gar Madine me do gaz zameen toh
Mai kar baithu saare jahan se kinara
Dam e Waapsi jab Madine me pohochu
Na lautu mai Soo e Watan phir doobara
Mere Mustafa ab karam ki nazar ho
Khada Hai yeh chaukhat pe Shakir tumhara