Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label C. Show all posts

Choote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Moinuddin Lyrics

Chootey na kabhi tera daaman
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Hai tum pe fida sab tan mann dann
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Ajmer mujhe pohochaade Khuda
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Yeh sadqa karu tan mann apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Farzande Ali ho Noor e Nabi
Mehboob e Khuda hain zaat teri
Ek baar dikha Rauza Apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Kaaba ho Madinaho ya Najaf
har sampt nazar tum aate ho
Kuch aisi lagi hai tum se lagan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Waliyon ke wali ho tum Khwaja
Aur ibne sakhi ho tum Khwaja
Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Aqaa ki atah woh Noor e Ali
Zahrah ki kali waliyo ke wali
Hasnain ke dil Usmaan ke nayan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Chaap Tilak Sab Cheeni Kalaam e Amir Khusro Lyrics

Chaap tilak sab cheeni re mo se naina milai ke
Chaap tilak sab cheeni re mo se naina milai ke

Prem bhatee ka madhwa pilai ke
Matwali kar leeni re mo se naina milai ke

Gori gori bayyaa(n) hari hari choodiyaa(n)
Bayyaa pakad dhar leene re mose naina milai ke

Bal bal jaau mai tore rang rajwa
Apni see kar leeni re mo se naina milai ke

Khusro Nizaam ke bal bal jaiyye
Mohe suhaagan keeni re mo se naina milai ke

Chand Taare Hi Kya Dekte Reh Gaye Naat Lyrics

Chand taare hi kya dekte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Par ke Rooh ul Amin Soorah e Wadduha
Soorat e Mustafa dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Chand taare hi kya dekte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Woh imamat ki shab woh Saf e ambiya
Muqtadi muqtada dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Chand taare hi kya dekte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Woh gaye Arsh tak aur Rooh ul Amin
Sidrah tul Muntaha dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Chand taare hi kya dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Kya khabar kis ko kab Jaam e Kauthar mila
Hum toh unki ada dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Chand taare hi kya dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Nek o Badh par hua unka yaksa karam
Log acha bura dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Chand taare hi kya dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Ho ke gum aye Naseer unke jalwo me hum
Shaan e Rabul Ulaa dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Chand taare hi kya dekhte reh gaye
Unko arzo sama dekhte reh gaye

Call Us To Taiba Naat Lyrics

Call us to Taiba Ya RasoolAllah
Call us to Taiba Ya HabibAllah

The day will come we will see
The sweet and lovely Taiba
Our lovely Prophet will call us
To the lovely Taiba

Call us to Taiba Ya RasoolAllah
Call us to Taiba Ya HabibAllah

My days and nights are passing
In this hope that one day
I will see with eyes
Sweet and lovely Taiba

Call us to Taiba Ya RasoolAllah
Call us to Taiba Ya HabibAllah

When I see somebody
Going to Holy Taiba
I cant control feeling
My tears your Taiba

Call us to Taiba Ya RasoolAllah
Call us to Taiba Ya HabibAllah

Chasme Karam Ki Baat Hai Khwaja Lyrics

Chasme karam ki baat hai Khwaja
Kya meri aukaat hai Khwaja

Jiski badaulat sab pal te hai
Woh teri khairaat hai Khwaja

Sab ko mile ek jaam karam ka
Saavan ki barsaat hai Khwaja

Tum hi meri laaj rakhoge
Ishq nedamat shad hai Khwaja

Mere aasu unka daman
Yeh nisbat ki baat hai Khwaja

Khali jholi bhar jayegi
Ek nazar ki baat hai Khwaja

Jiss ko buzurgo se nisbat hai
Woh rahbar ki zaat hai Khwaja


Chand Se Hasin Chehra Naat Lyrics

Chand se hasin chehra
Khuda ki nazro me rehta
Mere sarkar ka chehra
Wo noor e haq ka hai
Jalwa mere sarkar ka chehra
Wo pyaara pyaara chehra

Yahi hai rashke mehruma
Yahi toh share khuba
Hasino se hasin chehra
Mere sarkar ka chehra
Wo pyaara pyaara chehra

Huve ummat me wo aala
Sahaba ban gaye wo log
Jinhone aankho se dekha
Mere sarkar ka chehra
Wo pyaara pyaara chehra

Hazaro parde the aaaye
Magar phir bhi chamak aisi
Ke jaise chand ka tukda
Mere sarkar ka chehra
Wo pyaara pyaara chehra

Kasam hai husne yusuf ki
Jahan bhar me nahi koi
Misaal aise jawab aisa
Wo pyaara pyaara chehra

Bilal e habashi hai
Kaabe ki chat par
Rukh kaha karte
Azaan dene ka ab qibla
Mere sarkar ka chehra
Wo pyaara pyaara chehra

Nakiron ne pucha qabr me
Yeh kiska jalwa hai
Ujagar jhoom kar bola
Mere sarkar ka chehra
Wo pyaara pyaara chehra

Chale Aate Hai Naat Lyrics

Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai
Jab karam hota hai
Taiba ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Mil hi jata hai
Dar e shah pe
Har gam ka ilaaj
Zakm sine ke
Dikhane ko chale aate hai

Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai
Jab karam hota hai
Taiba ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Sar e mehshar yeh
Pukarenge gulamane  nabi
Dekhko daman me
Chupane ko chale aate hai

Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai
Jab karam hota hai
Taiba ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Lamha lamha hai
Madine me barasti rehmat
Usi rehmat me
Nahane ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai
Jab karam hota hai
Taiba ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Yaaad me unki jo
Duniya se gaya hai koi
Qabe me jalwa
Dikhane ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai
Jab karam hota hai
Taiba ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Apne ushaad ki wo
Pyaas bujane ke liye
Jaam kausar ka
Pilane ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Umr bhar job hi kiye
Hum gunaho pe gunah
Daag isiyan ke mitane
Ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai
Jab karam hota hai
Taiba ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Mangne se bhi siva
Dete hai sarkar sab ko sarkar
Isi umeed me taiba
Ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Phir chala hu mai
Madine se watan ki janib
Jald bulwaye toh
Keh dunga chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Teri kismet ka
Milega tujhe hisa shakir
Khali daman yaha
Bhar ne ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai
Jab karam hota hai
Taiba ko chale aate hai
Haale dil apna sunane
Ko chale aate hai

Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain Naat Lyrics

Chor fikr duniya ki chal Madine chalte hai
Mustafa ghulamo ki kismate Badal te hai

Rehmato Ke Badal Ke Saaye Saath Chalte Hain
Mustafa Ke Deewane, Ghar Se Jab Nikalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Humko Roz Milta Hai Sadqa Pyare Aaqa Ka
Unke Dar Ke Tukdo Par Hum Jaise Khush Naseeb Palte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Aamina Ke Pyare Ka, Sabz Gumbad Waale Ka
Jashn Hum Manate Jalne Waale Jalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Sirf Saari Duniya Me, Wo Taiba Ki Galiya(n) Hain
Jis Jagah Pe Hum Jaise, Khote Sikke Chalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Sach Hain Gair Ka Ehsaan, Wo Kabhi Nahi Lete
Aay Aleem Aaqa Ke Jo Tukdo Pe Palte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

Chanda kare tumka salaam

Chanda kare tumka salaam aye pyare nabi
Tare gagan le tumra naam aye pyare nabi

Ek jay ke lauta rek tukde huega
Shams o qamar tumhare gulam aye pyare nabi

Kausar ki janib ham nahi takte
Hame diho nainan ka jam aye pyare nabi

Itni araj hai roje ke aage
Aaye ke ham hoon oadte salaam aye pyare nabi

Rehmat ka savan barse to ham par
Bunj dihe bipta ka ghaam aye pyare nabi

Aijaj hi ki ek baat hai
Duniya kare tumka salaam aye pyare nabi

For more naat lyrics visit : www.naatlyrics.in

Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai

Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai
Tera Mera Sab Ka Jo Ma'bood Hai

Hai Wahi Shahid Wahi Mash-hud Hai
Noor Uska Har Jagah Maujood hai

Usne Hi Humko Bakshe Hay Humko Mustafa
Ye Na Ho To Zindagi Be Sud Hai

Yu To Hai Quraa(n) Hidayat Ki Kitaab
Par Kisi Ka Tazkera Maksood Hai

Wad-duha Wash-shams Jiski Shaan Hai
Haan Wahi Ahmed Wahi Mehmood Hai

Unn Ka Charcha Har Jabaa(n) Par Hai Rawaa(n)
Unki Khushbu Har Jagah Maujood Hai

Azmat E Ahmad Me Jisko Hai Shuba
Haan Wahi Shaitaa(n) Wahi Mardood Hai

Aur Jo Karta Hai Unn Par Jaa(n) Fida
Wo Mubarak Hai Wahi Mas-ud Hai

Noor Ki Barsaat Hoti Hai Waha
Jis Jagah Par Mehfil E Maulood Hai

Padhte Rahiye Nazmi Naat E Mustafa
Haan Isi Me Rooh Ki Beh-bud Hai

www.naatlyrics.in

Chamak Tujhse Paate Hai Naat Lyrics

Chamak tujhse paate hai sab paane waale
Mera dil bhi chamka de chamkane waale

Barasta nahi dekh kar Abre Rehmat
Badon par bhi barsa de barsa ne waale

Madine ki khitte Khuda tujh ko rakhe
Gareebo faqeero ke tahraane waale

Tu zinda hai Wallah tu zinda hai Wallah
Mere chasme aalam se chup jaane waale

Mai mujrim hu Aaqa mujhe saath le lo
Ke raste me hai jaa baja thaane waale

Tera khaye tere gulamo se uljhe
Hai munkir ajab khaane ghurraane waale

Rahe ga yuhi unka charcha rahega
Pade khaak ho jaye jal jaane wale

Raza nafs dushman hai dum me na aana
Kaha tu ne dekhe hai chand raane waale


Chalo Diyaare Nabi Ki Jaanib Naat Lyrics

Chalo diyaare nabi ki jaanib
Durood lab par saja saja kar

Bahaar lootege ge hum karam ki
Dilon ko daaman bana bana kar

Na unke jaisa sakhi hai koi
Na unke jaisa ghani hai koi

Woh benawao ka har jaga se
Nawaazte hai bula bula kar

Mai woh nikamma hu jisski jholi
Me  koi Husn e Amal nahi hai

Magar woh ehsaan kar rahe hai
khataye meri chupa chupa kar

Hai unko ummat se pyaar kitna
Karam hai rahmat sha’aar kitna

Hamaare jurmo ko dho rahe hai
Woh apne aansu baha baha kar

Yahi Asaas e Amal hai meri
Issi se bigri bani hei meri

Samet ta hu karam Khuda ka
Nabi ki naate suna suna kar

Woh raahe ab tak saji huyi hai
Dilo ka kaaba bani huyi hai

Jaha jaha se huzur guzre hai
Naqsh apna jama jama kar

Agar muqaddar ne yaawri ki
Agar Madine gaya me Khaalid

Qadam qadam khaak us gali ki
Mai choom lunga utha utha kar


Chod Fikr Duniya Ki Naat Lyrics

Chod fikr duniya ki Madine chalte hai
Mustafa gulamo ki qismate badalte hai

Sirf saari duniya me woh Taiba ki galiya hai
Jis jaga bhi hum jaise khote sikke chalet hai

Aamina ke pyaare ka Sabz Gumbad waale ka
Jashn hum manate hai jalne wale jalte hai

Hum ko roaz milta hai sadqa pyaare aaqa ka
Unke dark e tukdo par khush naseeb palte hai

Rahmato ke saaye saath saath chalte hai
Mustafa ke deevane ghar se jab nikalte hai

Naat e Mustafa sunn kar aag sard hoti hai
Zikr e Mustafa sunn kar sangay dil pigalte hai



Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri