Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label L. Show all posts

Kalma Sharif By Milad Raza Qadri Lyrics

Illallahu Ilallah Ilallaho Ilallah
Ilallaho Ilallah Ilallahu Ilallah

Haq La Ilaaha Ilallah
Haq La Ilaaha Ilallah

Khudi ka sirey nihan
La Ilaaha Ilallah
Khudi hai Tegh e fasaan
La Ilaaha Ilallah

Haq La Ilaaha Ilallah
Haq La Ilaaha Ilallah

Kisi nay pucha ke
Jannat ki koi kimat hai
Toh Mustafa ne kaha
La Ilaha Illallah

Haq La Ilaha Illallah
Haq La Ilaha Illallah

Yeh daur apne baraheem
Ki talash me hai
Sanam kada hai jahan
La Ilaaha Ilallah

Haq La Ilaaha Ilallah
Haq La Ilaaha Ilallah

Agarchay boot hain
Jama'at ki asteenoon me
Mujhe hai Hukm e Azaan
La Ilaha Illalla

Haq La Ilaha Illallah
Haq La Ilaha Illallah


Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Naat Lyrics

Lutf unka aam ho hi jayega
Shaad har nakaam ho hi jayega

Jaan dedo wa'daye deedar par
Naqd apna daam ho hi jayega

Shaad hai firdaus ya'ani ek din
Qismate khuddam ho hi jayega

Yaad reh jaayegi ye bebaakiyan
Nafs tu to raam ho hi jayega

Be nishaanon ka nishaan mita nahi
Mit te mit te naam ho hi jayega

Yaad gesu zikre haq hai aah kar
Dil me paida laam ho hi jayega

Ek din aawaaz badlenge ye saaz
Chehchaha kohraam ho hi jayega

Saailo! daaman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch inaam ho hi jayega

Yaade abru kar ke tadpo bulbulo
Tukde tukde daam ho hi jayega

Mufliso unki gali me jaa pado
Baaghe khuld ikraam ho hi jayega

Gar yunhi rehmat ki taawile rahi
Madha har ilzaam ho hi jayega

Baada khwari ka samaa bandhne to do
Shaykh durs aashaam ho hi jayega

Gham to unko bhoolkar lipta hai yu
Jaise apna kaam ho hi jayega

Mit! ki gar yunhi raha karze hayaat
Jaan ka nilaam ho hi jayega

Aaqilo! unki nazar seedhi rahe
Boro(n) ka bhi kaam ho hi jayega

Ab to laayi hai shafa'at afwa par
Badhte badhte aam ho hi jayega

Lelo Lelo Salaam Ab Hamara Lyrics

Aao aao nabi ji Khudara
Lelo lelo salaam ab hamara

Aao aao do aalam ke Aaqa
Aao Shabbir o Shabbar ke nana

Gumjado ne hai tumko pukara
Lelo lelo salaam ab hamara

Hai pareshan ummat tumhari
Kar rahi hai bohut aaho jaari

Dukhda ummat ka sunn lo Khudara
Lelo lelo salaam ab hamara

Bahare isiya me hai yeh safina
Paar kardo Yaa Shahe Madina

Mauje tufan banado kanara
Lelo lelo salaam ab hamara

Jism rakha Khuda ne besaya
Noor ka kab hota hai saaya

Humne paaya Nabi aisa pyara
Lelo lelo salaam ab hamara

Kehkasha se guzar jaane waale
Jaake Allah se milne waale

Itni takleef kar lo gawara
Lelo lelo salaam ab hamara

Sadqa Siddiq e Akbar ka sarwar
Sadqa Farooq o Usman o Haidaar

Sadqa  Hasnain ka do Khudara
Lelo lelo salaam ab hamara

Shakir ul Qadri din wo aaye
Mil ke hum sab Madina jaaye

Humko Taiba bulwalo Khudara
Lelo lelo salaam ab hamara

Lajpal Nabi Mere Dardan Di Dawa Dena Naat Lyrics

Lajpal nabi mere
Dar da di dawa dena
Jad waqt e naza aave
Daaman di hawa dena

Mai naat teri padna
Mai zikr tera karna
Is zikr di barkat naal
Meri qabr wasa dena

Dil ronda hai jandena
Jad lok Madine nu
Hun saanu vi Yaa Aaqa
Darbar dikha dena

Sarkar di mehfil vich
Jholiyan bicha baithe
Laj rakh laive lajpaala
Khali na utha dena

Mare chaliya ve ro ro ke
Wich hijr de mehbooba
Hun saanu vi Ya Aaqa
Dedaar kara dena

Saahin di tamana hai
Rawe aake Madine vich
Paawe taibe de kutteyan de
Pairanch bitha dena

Lajpal Nabi Mere Dardan Di Dawa Dena Naat Lyrics By Ghulam Mustafa Qadri

Lajpal nabi mere dardan di dawa dena,
Jad waqth-e-naza aaye daman di hawa dena,

Mar chalyan han ro ro k wich hijr dy mehboba
By chain nigahaon nun dedar kara dena.

Khairat ata karna sarkar di marzi aay
Mera si tay kam mangna, jholi un wicha dena 

www.naatlyrics.in


Lutf E Namaaz

Allah ko pasand hai aadat namaaz ki,
Mehboob hai Nabi ko jamaat namaaz ki..


Lashkar ho tum khuda ka jamaat me aamilo,
fauji salaam hai ye jamaat namaaz ki..

Hai ambiya me khatme Rasool ka jo martaba,
vaisi ibaadaton me ibaadat namaaz ki..

Chamkenge dasto paaye mussalli baaroze hashr,
khul jayegi sabhi pe karamat namaaz ki..

Sajde... me the Husain ki sar kar liya juda,
degi zamine sajda shahadat namaaz ki..

Mehshar me sabse pehle jise puchega khuda,
wo hai ibaadaton me ibaadat namaaz ki..

SIBTAIN Ambiya wa Rasool jis kadr hue,
karte rahe hai sab hi hidayat namaaz ki..

Lau Madine Ki Tajalli Se Lagaye Hue Hai

Lau Madine ki tajalli se lagaye hue hai
Dil ko hum matlae anwaar banaye hue hai

Kashtiyan apni kinaare se lagaye hue hai
Kya wo doobe jo Muhammad ki tira'e hue hai

Sharme isiyan se nahi saamne jaya jata
Ye bhi kya kam hai tere sheher me aye hue hai

Ik jhalak aaj dikha gumbade khazra ke maki
Kuch bhi hai door se didar ko aye hue hai

Haaziro naaziro nooro bashar gaib ko chod
Shukr kar wo tere aibon ko chupaye hue hai

Naam ate hi Abubakro Umar ka lab par
Tu bigadta hai wo pehlu me sulaye hue hai

Qabr ki neend se uthna koi aasan na tha
Hum to mehshar me unhe dekhne aaye hue hai

Kyon na palda tere aamal ka bhari ho naseeb
Ab to mizaan pe sarkar bhi aaye hue hai

Sar pe rakh dijiye zara daste tasalli aakha
Gum ke maare hai zamane ke sataye hue hai

Teri nisbat hi to hai jiski badaulat hum log
Kufr ke daur me Imaan bachaye hue hai

www.naatlyrics.in

Lutf Unkaa Aam Ho Hi Jaayegaa

Lutf unkaa aam ho hi jaayegaa
Shaad har naa kaam ho hi jaayegaa

Jaan de do wadah-e deedaar par
Naqd apnaa daam ho hi jaayegaa

Yaad rah jaayegi ye bebaakiyaa
Nafs too to raam ho hi jaayegaa

Be nishaano ka nishaan mittaa nahi
Mitte mitte naam ho hi jaayegaa

Saahilo daaman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch in’aam ho hi jaayegaa

Yaad-e abroo kar ke tarpo bulbulo
Tukre tukre daam ho hi jaayegaa

Mufliso un ki galee mein jaa paro
Baagh-e khuld ikraam ho hi jaayegaa

Gham to un ko bhool kar liptahe yoon
Jaise apna kaam ho hi jaayegaa

Ab to laayee he Shafaa’at ‘afwo par
Barte barte aam ho hi jaayegaa

Ay Raza har kaam ka ik waqt he
Dil ko bhi aaraam ho hi jaayegaa

www.naatlyrics.in

Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma

Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Mere Nabi Se Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Aur Kissi Jaanib Kyun Jayein Aur Kissi Ko Kyun Dekhein
Apna Sab Kuch Gumbad-e-Khizra Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Pust Woh Kaisay Ho Sakta Hai Jiss Ko Haq Ne Buland Kiya
Dono Jahan Mein Unka Charcha Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Jiss Ke Fayz Se Bunjar Seeno Ne Shadabi Payi Hai
Mauj Mein Woh Rehmat Ka Darya Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Batlado Ye Har Dushman-e-Deen Ko Ghairat-e-Muslim Zinda Hai
Deen Per Mar Mitne Ka Jazba Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Inke Dar Se Sab Ho Aaye Jaa Na Saka Tou Aik Sabhi
Ye Ke Aik Tasweer-e-Tamanna Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Jinn Aankhon Se Taiba Dekha Woh Ankhein Betaab Hai Phir
Inn Ankhon Mein Aik Taqaza Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

for more lyrics visit: www.naatlyrics.in

Lagiyan Ne Mojan

Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Aaqa De Gulaman Da Main Adna Ghulam Aan
Loki Kehnde Khas main Te Amaan Tu Wii Aam Aaan
Parda je Paaya Hai Te Paayi Rakhin Sohniya
Changay Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Lagiyan Ne Mojan Hun Laayi Rakh Soniya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Hashr Dihare Jaddon Amlan To Tolran
Sharm de Maare Main Tay Kujh Wii Nayi Bolna
Damin Wich Apnay, Chupayi Rakhin Soniya
Change Aan Ke Manday Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Kisay Nu Main Apna Dukhra Sunaya Nayi
Tere Baajon Kisse Meno Seene Naal Laaya Nayi
Seene Naal Laaya Aey Te Laaye Rakhin Sohnya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Naa?m Tera Le Ke Aaqa, Shaan Main Wii Payi Aay
Teray Haath Dor Sanyaan Apay Tu Charhai Aay
Charhi Hui Guddi Nu Charhai Rakhein Sohnaya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

Ziya Teri Aal Da Banya Ghulam Aey
Aeday Naloon Aur Lena Ki Inam Aey
Banya Ghulam Hai Banayi Rakhein Sohnaya
Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya

For more lyrics visit: ww.naatlyrics.in

Likh Raha Hu Naat e Sarwar Naat Lyrics

Likh raha hu Naat e Sarwar Sabz Gumbad dekh kar
Kaif tari hai kalam par Sabz Gumbad dekh kar

Hai muqadar yaavari par Sabz Gumbad dekh kar
Phir na kyu jhume sana gar Sabz Gumbad dekh kar

Masjid e Nabvi pe pahuche Marhaba Salle Ala
Ho gaya jaari zubaan par Sabz Gumbad dekh kar

Aap se bus aap hi ko mangta hai ya Nabi
Aap ka adna sana gar Sabz Gumbad dekh kar

Aah aye Attar tujhse itna bhi na ho saka
Jaan kar deta nichawar Sabz Gumbad dekh kar


Lab Pe Aati Hai Dua Lyrics

Lab pe aati hai dua ban ke tamana meri
Zindagi sham’aa ki surat ho khudaya meri
Dur dunya ka mare dam se andheera ho jaye
Har jagah mere chamakne se ujala ho jaye

Ho mare dam se yunhi mere watan ki zeenat
Jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindgi hoo mare parwane ki surat Ya Rab
Ilm ki sham’aa se ho mujko mohabbat Ya Rab

Ho mera kaam gharebo ki himayat karna
Dard mando se zaieefo se mohabbat karna

Mere Allah burai se bachana mujhko
Naik joh rah ho us raah pe chalana mujh ko


Lamayati Nazeero Naat Lyrics

Lamyati nazeero kaafi nazarin
Misle To Na Shud Paida jaana
Jag raaj ko taaj tore sar so
Hai tujh ko shahey do sara jaana

Ana fi atshiv wa sakha ka atam
Aye Gesu e Paak aye Abr e Karam
Barsan haare rimjhim rimjhim
Do boond idhar bhi gira jaana

Al bahro alaa wal Mavjo tagha
Mann bekaso tufaan hosh ruba
Manjdhaar me hu Ya RasoolAllah
Manjdhaar me hu bigri hai hawaa
Moori naiya paar laga jaana

Ar rooho fida ka fazid harka
Yak shola digar barzan ishqa
Mora tan mann dhan sab phoonk diya
Yeh jaan bhi pyaare jala jaana

Al qalbo shyjivm wal hamo shujut
Dil dar chuna jaan zer chuno
Pat apni bhi pat mai kaise kahu 
Mera kaun hai tere siwa jaana

Bas Khaama e Khaam Nawa e Raza
Na yeh taraz meri na yeh rang mera
Irshaad e Ahibba Na Atik Tha
Nachaar is raah para jaana
Mora jiyera larje dharak dharak
Taiba se abhi na suna jaana

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri