Here are the LYRICS starting with your selected alphabet!
Showing posts with label U. Show all posts

Unke Joh Ghulam Ho Gaye Naat Lyrics

Unke joh ghulam ho gaye
Waqt ke Imaam ho gaye

Faiz unke aam ho gaye
Do jaha ghulam ho gaye

Jab bulaaya Aqaa ne
Khud hi Intazaam ho gaye

Paas waale dekhte rahe
Door se Salaam ho gaye

Farsh se woh jaakar ta arsh
Rab se hum Kalaam ho gaye

Waasta joh aap ka
Mere saare kaam ho gaye

Naam le wa unke joh huwe
Unke unche naam ho gaye

Muqtadi hai saare Ambiya
Mustafa Imaam ho gaye

Ambiya khade hai saf ba saf
Mustafa Imaam ho gaye

Mere Mustafa ki shaan dekh kar
Badshah ghulam ho gaye

Saf ba saf khade hai sab Shaheed
Aur Hussain Imaam ho gaye

Waqf pe naat Khaani e Riaz
Tere Subh o Shaam hogaye

Unki Jaame Jam Aankhen Naat Lyrics

Unki jaame jam aankhen
Shishaye badan mera
Unki band muthi me
Sara baakpan mera

Arze gang meri hai
Khittaye jaman mera
Mai gulame khwaja hu
Hind hai watan mera

Aashiqe nabi hu mai
Warise ali hu mai
Maila ho na payega
Hashr tak kafan mera

Naate mustafa kehna
Naate mustafa sun na
Mujhko bakshwayega
Haa yahi chalan mera

Hashr me nida hogi
Yeh gulam kiska hai
Mujh ko dekhe aur kehde
Ya shahe zaman mera

Arsh jhoom jhoom utha
Qudsiyo ko wajd aaya
Naate Mustafa me jab
Khul gaya dahan mera

Aap chahe ho jaye
Sari mushkile aasan
Aap chahe mit jaye
Ranj aur mehen mera

Maine sare kaam apne
Mustafa ko saupe hai
Kya bigad payega
Daure pur fatan mera

Waqfe zikre ahmed ho
Ta abad qalam ya rab
Hashr tak rahe jaari
Chashmae sukhan mera

Azmate mere aage
Sajda roz ho jaye
Unke dar se chul jaye
Kash payrahan mera

Hashr me tarazu par
Tole jayenge aamal
Kaam aahi jayega
Naat ka yeh fal mera

Arsh se pare jaakar
Mustafa ne batlaya
Yeh zami bhi meri hai
Aur hai gagan mera

Gulshane madina se
Nazmi mujhko nisbat hai
Ek ek kali meri
Gul mera chaman mera

Mai gulame khwaja hu
Hind hai watan mera

www.naatlyrics.in

Unki Lagan Dil Me Basaenge Naat Lyrics

Unki lagan dil me basaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Naato ki mehfil sajaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Ek din chalegi
Gulamo ki toli
Salle ala salle ala
Ki hogi booli
Naat e nabi
Hum gungunaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Unki lagan dil me basaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Aaqa ke shehr me
Khajuro ki chao me
Dil kash havao me
Muatar fazao me
Chota sa ek ghar banaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Unki lagan dil me basaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Khusiyo ke ja hai
Koi gham nahi hai
Taiba nagar khuld
Se kam nahi hai
Zam zam se
Har ghadi nahaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Unki lagan dil me basaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Taiba nagar ke kash
Hum ho kabutar
Minaar o gumbad
Hamara jo ho ghar
Roze ka phira lagaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Unki lagan dil me basaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Parwaz ko baal o par
De de ya rab
Naat padhne ka
Hunar de ya rab
Aaqa ko jakar sunaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Unki lagan dil me basaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Ek roz dundhegi
Rehmat bahana
Apna bhi palte ga
Raahi zamana
Dil ki lagi
Dar par bujhaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Unki lagan dil me basaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Naato ki mehfil sajaenge
Nabi nabi kehte
Madina chale jayenge

Uchiyan Uchiyan Shaana Naat Lyrics By Owais Raza Qadri

Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
Naale Khud Farmaya Ae, Mera Yaar Bara Sohna
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan

Din Saare Hi Sohne Ne, Jaire Rab Ne Banaye Ne
Din Saare Hi Sohne Ne, Jaire Rab Ne Banaye Ne
Jairay Waar Nabi Aaya, O War Bara Sohna
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan

Dushman Nu Dua Deway, Digiyan Nu Utha Deway
Dushman Nu Dua Deway, Digiyan Nu Utha Deway
Islam De Wali Da, Kirdar Bara Sohna
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan

Sarkar De Mohnday Te, SHABBIR Pya Khaiday
Sarkar De Mohnday Te, SHABBIR Pya Khaiday
O Sawari Bari Sohni, O Sawar Bara Sohna
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan

Har waar Maza Wakhra, Roze Di Ziyarat Da
Har waar Maza Wakhra, Roze Di Ziyarat Da
Sohne Da Bulawa Ae, Har Waar Bara Sohna
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan

Dunya De Shehran De, Baray Sohne Nazare Ne
Dunya De Shehran De, Baray Sohne Nazare Ne
Har Sohne Tu Sohnay Da Ghar Baar Bara Sohna
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan

Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
Naale Khud Farmaya Ae, Mera Yaar Bara Sohna
Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan

www.naatlyrics.in

Unhen Ikhtiyaar Diya Gaya

Sallallaho Ala Muhammad Sallallaho Alayhi Wasallam (Chorus)

Wo jo chahe chand ko tod de unhe iktiyaar diya gaya
Wo fir uske tukdo ko jod de unhe ikhtiyaar diya gaya

Jo Ali ki asr qaza hui to waqt par hi adaa hui
Chupe aaftab ko mod de unhe ikhtiyaar diya gaya

Kisi ummati ko sarkar ke rakh liye ja rahe hai malaika
To pakad ke khuld ko mod de unhe ikhtiyaar diya gaya  

Wo nabi ki mutthi ka mojiza ke wa ma ramaita kahe khuda
Wo nigah kufr ki fod de unhe ikhtiyaar diya gaya

Likho naajish unka ye mojiza jo kisi ki aankh nikal gayi
To luaab paak se jod de unhe ikhtiyaar diya gaya 

www.naatlyrics.in

Ujala Jiska Hai Do Jahaan Me

Ujala jiska hai do jahan me wo mere aaqa ki roshni hai
Unhi ke qadmon ki barkaton se ye zindagi aaj zindagi hai

Durood padhna salaam padhna har ek pal unka naam padhna
Jo arz karna unhi se karna sikhaya rab ne hame yahi hai

Hisab ka din kathin to hoga magar hame unka aasra hai
Wo aa hi jayenge bakhswane shafa'at unhi ko ata hui hai

Kahan hai duniya me shehar aisa madine jaisa madine jaisa
Hai fakhre jannat zameen ka tukda jahan pe lehde nabi bani hai

Wo khusbu e zulfe Mustafa hai ki mushk bhi hech jiskw aage
Mahekti galiyan yeh keh rahi hai sawaari unki abhi gayi hai

Unhi ka charcha hai aasman par zameen pe bhi zikr hai unhi ka
Har ek gul me har ek kali me mahek unhi ki basi hui hai

Wo sabz gumbad wo unka rouza wo unki masjid ka gosha gosha
Kadam kadam par lage hai aisa falak se jannat utar padi hai

Wahi hai Ahmed wahi Muhammad wahi hai Mehmood wo hai Haamid
Hamid wo hai Saeed wo hai unhi se nazmi ki lau lagi hai

www.naatlyrics.in


Utha Do Parda Dikha Do Chehra

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai

Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai Mamaate A'ada Ka Daab Me Hai

Siy(a)h Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai

Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai

Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai

www.naatlyrics.in

Unki Mahek Ne Dil Ke Naat Lyrics

Unki mahek ne dil ke ghunche khila diye hai
Jis raah chal diye hai kooche basa diye hai

Ik dil hamara kya hai aazaar uska kitna
Tum ne toh chalte phirte murde jila diye hai

Unke nisaar koi kaise hi runj me ho
Jab yaad aa gaye hai sab gum bhula diye hai

Asra me guzre jis dam bere pe qudsiyo ke
Hone lagi salaami parcham jhuka diye hai

Jab aa gai hai Josh e Rehmat pe unki ankhe
Jalte bujha diye hai roote hasa diye hai

Mere Karim se gar qatra kisi ne maanga
Dariya baha diye hai durbe baha diye hai

Allah Re kya jahannam ab bhi na sard hoga
Ro Ro ke Mustafa ne dariya baha diye hai

Mulk e Sukhn ki shahi tumko Raza musallam
Jis samt aa gaye ho sikke bitha diye hai

Hum se fakeer bhi ab pheri ko uthte honge
Ab toh Ghani ke dar par bistar jama diye hai

Aane do ya dubo do ab toh tumhari jaanib
Kashti tum hi pe chori langar utha diye hai

Dulha se itna kehdo pyaare sawari roko
Mushkil me hai baraati purkhar laa diye hai

Unki Mahek Ne Dil Ke Naat Lyrics


Unki mahek ne dil ke ghunchey khila diye hai
Jis raah chal diye hai koochey basa diye hai

His Fragrance Has Caused the Buds of My Heart to Blossom,
Whichever Road He Has Travelled, He Has Brought it to Life!

Ik dil hamara kya hai aazaar uska kitna
Tum ne toh chalte phirte murde jila diye hai

What is My Heart Alone?–however Much its Harm
You Have Brought Back to Life the Living Dead!

Unkay nisaar koi kaise hi runj me ho
Jab yaad aa gaye hai sab gum bhula diye hai

May I Die for Him! However Much Sorrow Someone is in,
When He is Remembered, All One’s Sorrows Are Forgotten!

Asra me guzre jis dam bere pe Qudsiyon ke
Hone lagi salaami parchum jhuka diye hai

During the Ascension When He Passed the Angelic Hosts,
They Began to Salute Him and Lowered Their Flags!

Jab aa gayi hai Josh e Rehmat pe unki ankhe
Jalte bujha diye hai rote hasa diye hai

When His Eyes Have Surged Forth, Ocean-like, with Mercy,
They Have Extinguished Those on Fire, Brought Smiles to Those in Tears.

Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga
Dariya baha diye hai durbe baha diye hai

If Someone Has Asked A Mere Drop From My Gracious Master,
He Has Given Him Rivers in Return, Whole Oceans Instead!

Allah re kya jahannam ab bhi na sard hoga
Ro Ro ke Mustafa ne dariya baha diye hai

Allah! Have the Fires of Jahannam Still Not Frozen Over?
Beloved Mustafa Has Wept Oceans of Tears!

Mulk e Sukhn Ki Shahi tum ko Raza musallam
Jis simt aa gaye hai sikke bitha diye hai

Congratulations on Being Crowned King of Verse, Raza!
Wherever You Have Gone, Coins Have Been Struck in Your Name!

Hum se faqir bhi ab pheri ko uthte honge
Ab toh Ghani ke dar par bistar jama diye hai

Now Even Mendicants Hope to Obtain Something From Us,
Since We Have Lain Our Matresses At the Door of That Generous One!

Aane do ya dubo do ab toh tumhari jaanib
Kashti tum hi pe chori langar utha diye hai

Whether You Let Me Cross Or Not, it is Now Up to Your Pleasure,
I Have Left My Ship in Your Hands, Have Lifted the Anchor!

Dulha se itna keh do pyaare sawari roko
Mushkil me Hain Baraati, Purkhar Laa Diye Hain.

Say this Much to the Bridegroom: Beloved, Halt Your Steed Awhile,
the Wedding Guests Are in Difficulty–their Way Strewn with Thorns!

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri