Kaabe ki ronak Kaabe ka manzar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekhu to dekhe jau barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Hairat se khud ko kabhi dekhta hu
Aur dekhta hu kabhi mai haram ko
Laya kahan mujhko mera muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Hamd e Khuda se tar hai zabane
Kaano me rass ghoolti hai azaane
Bus ek sada aa rahi hai barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Mangi hai maine jitni duae
Manzoor hongi maqbool hongi
Mizaab e Rehmat hai mere sar par
Allahu Akbar Allahu Akbar
Tere karam ki kya baat Maula
Tere haram ki kya baat Maula
Taa umr karde aana muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Yaad aagayi jab apni khataye
Ashko me dhalne lagi iltijae
Roya Gilaf e Kaaba pakad kar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha
Rab ke karam ka jalwa bhi dekha
Dekha rawa ek saron ka samandar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Kaabe ke upar se jaate nahi hai
Kisko sabak yeh sikhate nahi hai
Kitne moadab hai yeh kabutar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Bheja hai jannat se tujhko Khuda ne
Chuma hai tujh ko khud mere Mustafa ne
Aye Hajr e Aswad tera muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Jis par nabi ke kadam ko sajaya
Apni nishani keh ke bataya
Mehfooz rakha Rab ne yeh patthar
Allahu Akbar Allahu Akbar