Bhar Do Jholi Lyrics

Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Lautkar mai na jaaunga khaali

Tumhaare aastane se zamaana kya nahi paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahi jaata

Tum zamaane ke mukhtaar ho Ya Nabi
Bekaso ke madadgaar ho Ya Nabi

Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebo ke gham khwaar ho Ya Nabi

Hum hai Ranj o Musibat ke maare huwe
Saqt mushkil me hai gum se haare huwe

Ya Nabi kuch Khudaara hame bheek do
Dar pe aaye hai jholi pasare huwe

Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaye hum
Haalat e Bekasi kisko dikhlaaye hum

Hum tumhare bhikaari hai Ya Mustafa
Kiske aage bhalaa haath failaye hum

Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Lautkar mai na jaaunga khaali

Kuch nawaso ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hu bankar sawaali

Haq se paayi woh Shaan e Kareemi
Marhaba dono aalam ke waali

Uski qismat ka chamka sitaara
Jis pe Nazr e Karam tum ne daali

Zindagi baksh di bandagi ko
Aabroo Deen e Haq ki bachaali

Woh Muhammad ka pyaara nawasa
Jisne sajde me gardan kataali

Jo Ibne Murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani e Hussain ka anjaam khoob hai

Khurbaan ho ke Fatima Zehra ke chain ne
Deen e Khuda ki shaan badhaayi Hussain ne

Bakhshi hai jisne Mazhab e Islam ko hayaat
Kitni azeem Hazrat e Shabbir ki hai zaat

Maidan e Karbala me Shah e Khush khisaal ne
Sajde mei sar kata ke Mohammad ke laal ne

Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo Deen e Haq ki bachali

Woh Muhammad ka pyaara nawaasa
Jisne sajde me gardan kataali

Hashr me unko dekhenge jis dam
Ummati yeh kahenge khushi se

Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali

Mehshar ke roz Pesh e Khuda honge jis ghadi
Hogi gunahgaaro me kis darjaa bekali

Aate huwe Nabi ko jo dekhenge ummati
Ek dusre se sab yeh kahenge khushi khushi

Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali

Sar e Mehshar gunahgaro se purshish jis ghadi hogi
Yaqinan har bashar ko apni bakshish ki padi hogi

Sabhi ko aas us din kamli waale se lagi hogi
Ke aise me Mohammad ki sawaari aa rahi hogi

Pukarega zamaana us ghadi dukh dard ke maaron
Na ghabraao gunahgaro na ghabraao gunahgaro

Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali

Aashiq e Mustafa ki azaan me Allah Allah kitna asar tha
Sachaa yeh waaqiya hai Azaan e Bilaal ka

Ek din Rasool e Paak se logo ne yuh kaha
Ya Mustafa Azaan ghalat dete hai Bilaal

Kahiye huzoor aapka is me hai kya khayaal
Farmaaya Mustafa ne yeh sach hai toh dekhiye

Waqt e Sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne joh Azaan e Sahar na di

Khudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar huwi
Aaye Nabi ke paas kuch As’haab e Baasabaa

Kiya arz Mustafa se aye Shah e Ambiya
Hai kya sabab sahar na huwi aaj Mustafa

Jibreel laaye aise me Paighaam e Kibriya
Pehle toh Mustafa ko adab se kiya salaam

Baad as salaam unko Khuda ka diya payaam
Yuh Jibraeel ne kaha Khair ul Anaam se

Allah ko hai pyaar tumhaare ghulaam se
Farma raha hai aap se yeh Rab e Zuljalaal

Hogi na subha denge na jab tak azaan Bilaal
Aashiq e Mustafa ki azaan me Allah Allah kitna asar tha

Arsh waale bhi sunte the jisko
Kya azaan thi Azaan e Bilaali

Kaash purnam dayaare nabi me
Jeete ji ho bulawa kisi din

Haal e Gum Mustafa ko sunau
Thaam kar unke rauze ki jaali

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri