Likh Raha Hu Naat e Sarwar Naat Lyrics

Likh raha hu Naat e Sarwar Sabz Gumbad dekh kar
Kaif tari hai kalam par Sabz Gumbad dekh kar

Hai muqadar yaavari par Sabz Gumbad dekh kar
Phir na kyu jhume sana gar Sabz Gumbad dekh kar

Masjid e Nabvi pe pahuche Marhaba Salle Ala
Ho gaya jaari zubaan par Sabz Gumbad dekh kar

Aap se bus aap hi ko mangta hai ya Nabi
Aap ka adna sana gar Sabz Gumbad dekh kar

Aah aye Attar tujhse itna bhi na ho saka
Jaan kar deta nichawar Sabz Gumbad dekh kar


Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri