Poochtey kya ho arsh par

Poochte kya ho arsh par yooN gaye Mustafa, ke yoon 
Kaif ke par jahaan jalain, koi bataaye kya ke yoon 

Qasr danaa kay raaz mein aqlein to gum hain jaisee hain 
Ruh-e-Quds se poochiye tum ne bhi kuchh sunaa ke yoon 

Main ne kaha ke jalwa-e-asal mein kis tarah gumein 
Subh ne noor-e-mihr mein miT kay dikhaa diya ke yoon 

Haaye ray zawq-e-bay-khudi dil jo sanbhalnay saa laga 
Chhak kay mehak mein phool kii girnay lagee sabaa ke yoon 

Dil mein day noor-o-daagh-e-ishq phir mein fida do neem kar 
Maana hai sun kay shaq-e-maah aankhoN se ab dikhaa ke yoon 

Dil ko hai fikr kis tarah murday jilaatay hain Huzoor 
Ay mein fidaa, lagaa kar aik Thokar ussay bataa ke yooN 

Baagh mein shukr-e-vasl tha, hijr mein haaye haaye gul 
Kaam hain unkay zikr say, khair woh yoon huwa ke yoon 

Jo kehay sha'ir o paas -e- Shara' donon ka husn kyonkar aaye 
Laa ussay pesh-e-jalwaa-e-zamzama-e-Raza ke yoon 

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri