Aagae Mustafa(sallallaho alayhi wasallam) ki sawaari

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammed (S.A.W.W) bana diya

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey (A.S) salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain

Sadqa Hasnain (R.A) o Ghausul Waraa (R.A) ka
Ya Nabi (S.A.W.W) meri jholi may daalo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara

Aashiqo Aamad-e-Mustafa (S.A.W.W) hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey

Aap (S.A.W.W) ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un (R.A) kay sadqey may ham ko bula lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Jin kay haatho may hay Un (S.A.W.W) ka daaman
Naam-e-Ahmad (S.A.W.W) hay jis dil ki dharkan

Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker Un (S.A.W.W) ka naara laga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan

Jashne Milaad (S.A.W.W) ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Midhat-e-Mustafa (S.A.W.W) hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey

Her ghari zikr ho Mustafa (S.A.W.W) ka
Iss ko apna wazeefa bana lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

for naat lyrics visit: www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri