Jab Jab Nabi Ki Yaad Aye Hai

Jab jab nabi ki yaad aye hai
Jiya mora khinchke madina chala jaye hai

Amina bibi khushiyan manaye
Abdul Mutallib fule na samaye
Bal bal halima bibi jaye hai
Jiya mora khinchke madina chala jaye hai

Aye ro jag ma shahe madina
Kufr ke saath pe aya pasina
Haq ka jo jhanda lehraye hai
Jiya mora khinchke madina chala jaye hai

Allahu akbar unka pasina
Jisme mahekta hai sara madina
Dono jahan ko mehakaye hai
Jiya mora khinchke madina chala jaye hai

Ayega ik din hajj ka mahina
Fir se bula lo shahe madina
Rizwan ko yaad ab sataye hai
Jiya mora khinchke madina chala jaye hai

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri