Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai Naat Lyrics

Jaano dil qurban hai wo to aashiqo ki jaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai
Mera ghar aulado jaan mehoob par qurbaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Zulf hai wallail unki wadduha rukhsar hai
Khulq hai unka azeem Qur'an ka shi'ar hai
Warafa'ana laka zikrak rab ka ye farmaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Chand ke tukde kiye sooraj firaya aap ne
Kankri bejaan thi kalama padhaya aapne
Maliko Mukhtar aaqa kaisa wo zeeshan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Kya bayaan ho Shaan mujhse Mustafa ki aal ki
dilbare Maula Ali aur Faatima ke Laal ki
Fatima, Hasnain o Haidar Mustafa ki jaan hai
Marhaba kitna sohna Nabiyon ka Sultan hai

Har ghadi anwaaron rehmat ki waha barsaat hai
Jis jagah par jalwa farma Mustafa ki zaat hai
Nikle dum Taiba me Maula ye mera armaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Jaakani ke waqt woh kalma padhane aayenge
aasiyon ko hashr me woh bakhshwane aayenge
naaz kar tu aye khaleel Aaqa woh aali shaan hai
Marhaba kitna sohna Nabiyon ka sultan hai

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri