Tumhara Naam Musibat Mey Jab Liya Hoga

Tumhara naam musibat mey jab liya hoga,
Humara bigda huwa kaam ban gaya hoga.

Gunahgaar pe jab lutf Aap ka hoga,
Kiya baghayr kiya bey kiya kiya hoga

Khuda ka lutf huwa hoga dastagir zaroor,
Jo girthay girthay tera naam ley liya hoga.

Dikhayi jaayegi mehshar mein shaane Mahboobi,
Ke Aap hi ki khushi Aap ka kaha hoga.

Khudaye Paak ki chahein gey aglay pichlay khushi,
Khudaye Paak khushi un ki chahtha hoga.

Kisi ke paaon ki beydi yeh kaat te honge,
Koi aseere gham unko pukaarta hoga

Kisi taraf se sada aaey gi Huzoor aao!
Nahi to dam me ghareebon ka faisala hoga.

Kisi key palle peh ye hongay waqt wazne amal,
Koi umeed se mooh unka tak raha hoga

Koi kahe ga duhaahi hai Ya Rasoolallah!
To koi thaam key daman machal gaya hoga

Kisi ko le ke chalein ge farishte sooye jaheem,
Woh un ka raasta phir phir key dekhta hoga.

Shikastha paaon mere haal ki khabr kar do,
Koi kisi sey yeh ro ro key keh raha hoga.

Khuda ke waaste jald unse arze haal karo,
Kise khabr hai ke dambhar me haal kya hoga.

Pakad ke haath koi haale dil sunaaye ga,
To ro key qadmon pe koi machal gaya hoga.

Zaban sookhi dikha kar koi labe kauthar,
Janabay Paak key qadmon pey gir gaya hoga

Nishaane husraway di door mey ghulaamon ko,
Liwaye hamd ka parcham batha raha hoga

Koi qareebe tarazu koi labe kauthar,
Koi sirat pey unko pukaarta hoga

Yeh bekaraar karegi sada ghareebon ki,
Ke muqaddas ankhon sey thalaash ka bandha hoga

Woh paak dil ke nahi jisko apna andeysha,
Khoj me fikr o tharado mey gir gaya hoga

Hazaar jaan fida narm narm paaon sey,
Pukaar unke aseeron ki daudtha hoga

Azeez bache ko maa jis tarhay talash kare,
Khuda gawa yahi haal Aap ka hoga

Khudai bhar inhi haathon ko dekhti hogi,
Zamana bhar unhi qadmon pey lowt-ta hoga

Maqaam faasilon par kaam mukhtalif ithnay,
Woh din zahooray kamaale Huzoor ka hoga

Kahein gey aur nabi 'iz habu ila ghairi',
Meray Huzoor keh lab par 'ANA LAHA' hoga

Duaey ummath badkaar wirday lab hogi,
Aur Khuda kay saamney sajdey mey sar jhuka hoga

Ghulaam unki inayath say chayn mey hongay,
Aduw Huzoor ka aafath mey mubthala hoga

Mai un key dar ka bhikari hun fazlay Mouwla sey,
Hasan faqeer ka jannat mey bistara hoga.

www.naatlyrics.in

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri