Mast o Bekhud mujhe banaye e jaa
Tere Kurbaan Saqi e Aalam
Yeh Mai e Ishq hai pilaye jaa
Do piyali bhar ke de Saqi mein gulfaam ki
Ek apne naam ki aur ek Allah naam ki
Sakiya poori tamanah ho Dil e Nakam ki
Aur jate jate kar de fir soorat koi aaram ki
Aisi pila ke Josh e Tamanna daal kaar
Ek katra de magar katre me dariya daal kar
Aye saqi teri khair tere maikhade ki khair
Aisi pila ke jiska nasha umr bhar rahe
Mujh ko bhar poorh abi tak na koi jaam mila
Saqia aur pila aur pila aur pila
Allah Allah tera maikhana tere andaaz yeh garibana
Aaj ektish na kaam aaya hai sunn ke saqi ka naam aaya hai
Teri Shan e Azim ke sadqe aaj ji bhar ke mujh ko peene de
Marifat ki sharab ho saqi jis ka pina sawab ho saqi
Pi ke khud ko bhi bhul jau mai umr bhar hosh me na aau mai
Jhoom jau mai josh e masti me aaye ek ek kalaa hasti me
Teri kurbaan me Guncha e Ummid khila
Saqiya aur pila aur pila aur pila
Karbala me joh pi gayi thi sharab Ibn Hadier ko di gai thi sharab
Jis ko Zehrah ke laal ne pi kar jaan de di Raza e Maula par
Zahkhum tan par the khoon jaari tha sar pe saya Rab e Bari tha
Teen din ke Hussain pyaase the Mustafa ke magar, navase the
Mangte dushmano se kyu pani pi rakhi thi sharab e noorani
Pi ke ek La Ilaha ka pyala josh e uulfat mey sar kata dala
Khoon Aal e Rasool ka sadqa Sadqa Jaane e Batul ka sadqa
Khoon e Akbar ki dhaar kah sadqa aur sadqa Asghar e Sheer khar ka sadqa
Sadqa Zainab ke sar ki chadar ka aur sadqa shah ke lutey hue ghar ka
Saqi aa de wohi sharab mujhey zabt ki ab nahi hai taab mujhe
Ek do jaam toh aalam ko abhi aur pila
Saqia aur pila, aur pila, aur pila
Saqia aur pila, aur pila, aur pila. (x2)