Tum Ho Jane Ali Daata Hindal Wali Lyrics

Tum ho jane ali Data hindal wali
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Maula ali ke Noor e Nazar ho
Pyaare nabi ke lakhte jigar ho
Hum par inaayat Shaam o shahr ho
Saiyad e Mohtaram kardo kardo karam
Mere Khwaja piya ere Khwaja piya

Usman ke pyaare dukhiyo ke waali
Koi bhikari koi sawali dar se tumhare
Lauta na khali tum ne sab ko diya
Sadqa e Chistiya tum ne sab ko diya
Khwaja sab ko diya Sadqa e Chistiya
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Jisne bhi tumko dukh me pukara
Usko diya hai tum ne sahara
Mera bhi daman bhar do khudara
Waali e Bekhasa Khwaja e Khwajgan
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Yaad jab aaye Tumri nagariya
Chanda ki jaisi dholi atariya
Tadpu mai jaise jal bin machaliya
Ab to kirpa karo haat sar pe dharo
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Nusrat hai tum par kurbaan Khwaja
Hum sab ka hai yeh armaan Khwaja
Kardo is ummat pe ehsaan Khwaja
Ek nazar daal do mushkile taal do
Mere Khwaja piya mere Khwaja piya

Search Lyrics

© Lyrics of Islamic Naats, Nasheeds, Manqabats, Salaams, Hamds in Urdu, Arabic, Hindi, English., AllRightsReserved.

Developed by Javed Khatri and maintained by Junaid Khatri