Teri mehfil se uth kar tere deewane kaha jaye
Nabuwat ki shama se dur parwaane kaha jaye
Khazaane Deen o Imaa(n) aaj hume laane kaha jaye
Tere dar ke bhikari haat failane kaha jaye
Bahut ruswa huye hai dahar me aay Rehmat e Aalam
Tumhe ab chod kar hum thokare khaane kaha jaye
Bajuj Hazrat ke ab koi nahi fariyaad ras mera
Sunane ke liye hum gum ke afsaane kaha jaye
Jise dekha hai tune ek nazar aay Saaki e Kausar
Woh matwaalekaha jaye woh mastaane kaha jaye
Tum hi Hazrat Rawa ho hamare Yaa RasoolAllah
Kisi ke aage damaan apna failane kaha jaye
Madine ki yeh galiya(n) bas gayi hai Shams ke dil me
Kaha jaye hum apne dil ko behlaane kaa jaye