Allah ke habib ka kitna hasin dayaar hai
Mausam ho koi bhi magar rehti waha bahaar hai
Unki jubane dil nashi kis darja ba waqar hai
Dushman ko bhi Rasool ki baato pe aytebaar hai
Marne ke baad bhi meri aankhe na band ho saki
Mujhko abhi Rasool ki aamad ka intezaar hai
Khuld e Bari ka tazkira chedo na dosto abhi
Mere tasawuraat me sarkar ka mazar hai
Mere karib aa sake shaitan ki majal kya
Noor e Khuda ke naam se maine kiya hisaar hai
Jab se tabassum me aziz chuta hai Sheher e Mustafa
Yeh jaan nisaar har ghadi ab hijr ka shikar hai