Shehre nabi teri galiyo ka naksha hi kuch aisa hai
Khuld bhi hai Mustak e Ziyarat Rouza hi kuch aisa hai
Dil ko sukun de aankh ko rahat Rouza hi kuch aisa hai
Farsh e Zami par Arsh e Bari ho lagta hi kuch aisa hai
Unke dar par aisa jhuka dil utne ka kuch hosh nahi
Ahle shariat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai
Sibte Nabi hai pushte Nabi par aur Sajde ki halat hai
Aaqa ne tasbih badhai beta hi kuch aisa hai
Rab ke siwa dekha na kisne farshi ho ya arshi ho
Unke haqiqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai
Taaj ko apne qaasa bana kar haazir hai Shahan e Jahan
Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai
Kham hai yaha Jamshid o Sikandar is me kya hairani hai
Unke gulamo ka aye Akhta rutba hi kuch aisa hai